Tuesday, May 21, 2024
HomeIndiaRashan Card nahi to anaaj nahi, Ghareeb awam ka koi pursan haal...

Rashan Card nahi to anaaj nahi, Ghareeb awam ka koi pursan haal nahi

New Delhi: Dopehar ke khanay ka waqt guzar chuka hai, Lekin 50 sala khatoun Batya ko abhi apne bawarchi khanaay mein qadam rakhna baqi hai. Gyahoon ke Aattay ki mamooli miqdaar jo guzashta raat khatam hogayi. Is ke alawa rozana ujrat haasil karne wala is khatoon ka shohar chand saal qabal diq se mar gaya tha aur is ke 2 bachay hain jin ki umrein 7 aur 16 saal ki hain. Is ki zindagi ka guzar busr padosioun ki sakhavat par munhaser hai.

Uttar Pradesh ke Banda zila ke kuchbandiya deera gaon mein Banda ne apni daastaa’n sunai hai. Is khatoon ke mutabiq un ke jaisay 70 gharanoun ke ghahoun mein kam az kam 15 se ziyada khandano ke paas Rashan Card nahi hai, Jo ghareeb khandano ko National Food Security Act, 2013 ke tehat har mahinay 5 kilo Gram Subsidy walay anaaj ka haqdaar banata hai. COVID-19 mein honay walay Infection ki rokk thaam ke liye hukoomat ki taraf se mulk bhar mein Lockdown ke elaan ke douran is ki terhan ke khandan mamool ki samaji behbood ki Schemes se bhi daur hain aur aisay khandan un sab se ziyada mutasir huve hain, Jo bhook se mar rahay hain aur faqa kashi ke dhanay par hain. Food Safety Act se baher honay ka matlab ye bhi hai ke ye khandan 26 March ko elaan kardah ek markazi imdadi Scheme ke tehat izafi 6 Kilo Gram anaaj aur daaloun ki sahuliyaat se mahroom ho jaienge.

 Markazi Food Security Scheme is waqt taqreeban 800 Million afraad, Ya Hindustani abadi ka 62 feesad par muheet hai, Lekin is mein se beshtar ghareeb afraad ko chhodh diya gaya hai. Bunyadi wajah awaami taqseem ke nizaam se istifada karne waloun ki fehrist ko 5 saal se ziyada arsa se Update nahi kiya gaya hai aur is mein bohat saaray bachoun aur nayi shadi shuda khawateen ko shaamil nahi kiya gaya hai. Ambedkar University, Delhi ki Assistant Professor Deepa Sinha ne kaha faida uthany waloun ki fehrist ko 2013 se 2016 ke darmain hatmi shakal day di gayi thi, Aur is ke baad se is ki taaza kaari nahi ki gayi hai. Sinha ke mutabiq jo Civil Society ittehaad Right To Foof Network se wabsta hain, Lakhoun Bashmole bachoun aur tarkin watan mazdoroun ko bhi is Scheme se kharij kiya gaya hai.

Markazi Food Security Scheme is waqt Hindustan ki taqreeban 62 feesad abadi par muheet hai, Lekin is mein se beshtar ghareeb baher reh gaye hain. Sinha ne kaha hum ek hungami sorat e haal mein hain aur hukomat ko aindah chand mah tak Food Subsidy Scheme ko alamgir banana chahiye taakay kisi ko bhook nah lagey. Food Cooperation of India ke paas is waqt ek bada zakheera hai. Ye Million Ton chawal aur Gyahoon hai. Is ke bawajood ghareeb khandano ko nishana banaye gaye PDS se kharij rakha gaya hai, Aur inhen fori imdaad ke liye khairaat ka rukh karne par majaboor hona padh raha hai. –YTN STAFF