Monday, April 29, 2024
HomeSliderRanji Tournament 87 baras mein pehli martaba nahi khela jayega

Ranji Tournament 87 baras mein pehli martaba nahi khela jayega

New Delhi : Hindustani cricket control board ( BCCI ) ne syed mushtaq Ali trophy Tournament t20 ka final 31 January ko mukammal hojane ke baad 50 over ke Vijaye hazare trophy Tournament aur khatoon ODI tournament ko munaqid karne ka faisla kiya hai lekin board ko taweel format ki ranji trophy ke liye waqt nahi mil padha hai. jis ki wajah se 87 barson mein pehli martaba is Tournament ko is saal mansookh kardiya gaya hai .

BCCI ke secretary jaye Shah ne reyasti union ko khat likh kar yeh tasdeeq ki hai ke khatoon ODI Tournament ka ineqad vijaya hazare trophy ke sath sath kiya jayega jabkay venu monakad under 19 trophy ko baad mein munaqqid kya jayega. Tournament ke tafseeli programme par kam jari hai. BCCI ne reyasti anjumnon se ranji trophy ke taweel format aur Vijaya hazare trophy ke 50overs ke  Tournament ke ineqad ke liye tajweez talabb ki thi. Syed mushtaq Ali ka corona dorke waqt mein kamyaab ineqad huwa hai aur ab 31 January ko is ke final ka ineqad ahmdaabad ke notamir shuda sardar patel stadium mein hona hai. BCCI ne gharelo season ke aaghaz ke liye reyasti anjumnon se tajaweez talb ki gayi thi aur sabhi reyasti anujamnon ne mutafiqa tor par tajweez di thi ke pehlay mushtaq Ali ka ineqad ho.

Beshatar riyasati union ka maanna hai ke Vijaya hazare ka kineqad kiya jaraha hai kyunkay mehdood waqt mein ranji ka ineqad mushkil hoga. IPL ke 14 win edition ka ineqad april mein hona hai aur is douran BCCI ke paas domah ka waqt bacha hai jis mein woh gharelo tournaments ka ineqad karna chahta hai. BCCI ke sadar sourav ganguly is douran ranji trophy karanay ke haq mein hain lekin board qaumi Tournament ke liye koi window talaash nahi kar padha hai. BCCI ke liye do mahine ke ke waqt mein ranji ka ineqad kaafi mushkil hai. is liye woh mehdood overs ke Tournament karanay ke haq mein hai.