Saturday, May 18, 2024
HomeLatest NewsRanjan Gogoi ki nam zadgi ku Supreme Court mein Challenge

Ranjan Gogoi ki nam zadgi ku Supreme Court mein Challenge

New Delhi: Sadar jamhooria Ram Nath Kovind ke zareya sabiq Chief Justice Ranjan Gogoi ko Rajya Sabha ke liye naam zad kiye jaaney ki khabrain jaisay hi Viral huve siyasi leaders se le kar kayi mahireen qanoon bhi herat zada nazar aeye. Kayi afraad ne is baat ko le kar narazgi bhi zahir ki ke Ranjan Gogoi ne Rajya Sabha ki rukniat qubool kyun ki. Ab Indian Council Of Social Science Research mein Professor Madho Kishwar ne Rajya Sabha ke liye un ki nam zadgi ko Supreme Court mein Challenge kar diya hai.

Media zaraye se mossola khabroun ke mutabiq Madho Kishwar ne Supreme Court mein sabiq Chief Justice Ranjan Gogoi ki Rajya Sabha rukan ke tor par namzadgi ko Challenge karte huve mafaad aama arzi ( PIL ) daakhil ki hai. Ye mafaad aama arzi 20 safhaat par hai aur dilchasp baat ye hai ke ye arzi kisi wakeel ki madad se tayyar nahi ki gayi hai aur na hi usay daakhil karne mein kisi wakeel ki madad li gayi hai.

Madho Kishwar ne apni arzi mein kaha hai ke sadar jamhooria hind Ram Nath Kovind ka Chief Justice Ranjan Gogoi ko Rajya Sabha ke liye naam zad karna ek siyasi taqarrur maloom horaha hai. Unhoun ne arzi mein mazeed kaha hai ke Gogoi ne apni muddatkar mein kuch tareekhi faislay liye hain aur is terhan ka taqarrur se Supreme Court mein un ki sadarat mein diye gaye faisloun ki mutabariyat par logoun ko shuba ho sakta hai.

Mafaad aama arzi mein Madho Kishwar ne Ranjan Gogoi ke is bayan ka bhi tazkara kiya hai jis mein unhoun ne kaha tha ke subuk doshi ke baad ka taqarrur adliya ki azaadi par ek dhabba hai. Madho Kishwar ne likha hai ke Ranjan Gogoi ka ye bayan batata hai ke faisla kisi bhi khauf ya janibdari ke baghair diya jata hai aur agar koi ohda Judge ko mil jaye to is par shuba peda honay lagta hai.

Rajya Sabha rukan ke tor par Ranjan Gogoi ki namzadgi ke talluq se Madho Kishwar ne kaha hai ke is terhan ki nam zadgi mulk ki adalat uzma par baday sawal khaday karta hai, Is liye aisay faisloun se bachna chahiye. Arzi mein Lokpal and Lokayuktas Act 2013 ke tehat Supreme Court aur High Court ke Judges ko subuk doshi ke baad mulazimat dainay par pabandi laganay ki bhi baat ki gayi hai.

Wazeh rahay ke Ranjan Gogoi Hindustan ke 46 we Chief Justice they aur 13 mahinay se ziyada muddat tak is ohda par rahay. Guzashta dinoun wizarat dakhla ne ittila di thi ke sadar jamhooria Ram Nath Kovind ne Ranjan Gogoi ka naam Rajya Sabha ke liye naam zad kiya hai aur is ke baad Sanjay Hegde aur Pranshant Bhoshan sameit kayi mahireen qanoon ne is qadam ko ghalat thehraya aur kayi terhan ke sawal khaday kiye. Gogoi ki Rajya Sabha nam zadgi ke baad Rafael aur Ayodhya maamla par sunaye gaye faislay ko bhi kayi logoun ne kategheray mein khada kiya. –YTN STAFF