New Delhi: Aam intekhabaat 2019 ki tarikhon ka ehlaan kar diya gaya hai aur yeh Aam intekhabaat Mulk bhar mein 7 marhalon mein honge. Aakhri teen Marhaley ke intekhabaat Ramzan ke maheena mein karwaye jayenge. Kyun kay 6 May se Ramzan ka muqaddas maheena shuru honay ja raha hai jis ke paish-e- nazar, kuch Muslim Leaderon aur ulmaoon ney intekhabaat ki un tarikhon par sawal khadey kiye hain.
Unhon ney Election Commission se darkhwast ki hai ke Ramzan mein honay walay teen marhalon ke intekhabaat Ramzan se pehlay ya phir Eid ke baad karaye jayen. Un Muslim leadron aur ulmaoon ney Election Commission ki Iradoon par bhi sawal uthaye hain. West Bangal mein Trinamool Congress leader aur Kolkata Municpal Coporation ke Mayor Farhaad Hakeem ney ilzaam lagaya hai ke Election Commission ney Ramzan ke dinon mein Election ki tareekhen rakhi hain taakay Musalman vote nah daal saken. Unhon ney kaha ke Ramzan mein Election honay ki wajah se logon ko vote daalnay mein kaafi pareshani hogi.
Unhon ney kaha ke Election commission Ek aayeni idaara hai aur hum is ka ehteram karte hain. Unhon ney kaha ke saat marhalon mein honay walay intekhabaat UP, Bihar aur West Bengal ke logon ke liye mushkil saabit honge. Farhaad Hakeem ney kaha ke un intekhabaat mein sab se ziyada pareshani musalmanoon ko hogi kyun kay voting ki tareekhen Ramzan ke maheena mein rakhi gayi hain. Farhaad Hakeem ney yeh ilzaam bhi lagaya ke BJP chahti hai ke Musalman apna vote nah dal saken.
Mulk bachane ke liye paband ahad hain. Wahin, doosri taraf, Maroof Islamic Scholar, Lucknow Eid-Gaah ke imaam aur Shehar qaazi Moulana Khalid Rasheed Firangi Mahli ney bhi 6 May se 19 May ke darmiyan honay walay Lok Sabha intekhabaat ko le kar shadeed narazgi zahir ki hai. Moulana ney kaha ke agar 5 May ko Ramzan ka chaand nazar aa jayega to phir 6 May se roza shuru ho jaye ga.
Is tarha Ramzan ke maheena mein Mulk mein 6 May,12 May aur 19 May ko voting hogi jis se Mulk ke Croredoon roze- daaron ko pareshani hogi. Unhon ney kaha ke woh Election Commission se appeal karte hain ke Election ki tareekhen Ramzan se pehlay ya Eid ke baad rakhi jayen taakay bahri tedaad mein Musalman vote daalnay ke liye niklein aur inhen koi pareshani nah ho. Khayaal rahay ke Election Commission ney Mulk bhar mein saat marhalon mein aam intekhabaat kara nay ka elaan kya hai. Is ke tehat pehlay marhala ka Election 11 April ko, dosray marhala ka Election 18 April ko, teesray marhala ka election 23 April ko, chouthay marhala ka 29 April ko, panchwi marhala ka 6 May ko, chhatay marhala ka election 12 May ko aur satwe aur aakhri marhala ka election 19 May ko hoga. 23 May ko voting ki ginti ho gi aur is ke baad Nayi Hukumat ki tashkeel ka amal shuru ho jaye ga.