Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaRampur ki khawateen bhi CAA ke khilaaf muzahiroun mein huien shaamil

Rampur ki khawateen bhi CAA ke khilaaf muzahiroun mein huien shaamil

Rampur: Delhi mein Shaheen Bagh aur Prayagraj mein Mansoor Ali Khan park ke baad ab Rampur ki Jamia Masjid hai jahan khawateen ne shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf mulk bhar mein jari halchal mein shaamil hogaye. Uttar Pradesh ki Jamia masjid mein takiban 200 Muslim khawateen police aur intizami ohdedaroun ke khelaaf ehtijaj karne ke liye Jamia huien.

Ye khawateen 48 ghantoun tak ehtijaj ke maqam par rahen. Unhoun ne police ke mobayyana mazalim ke khilaaf naaray baazi ki aur 21 decemeber ko riyasat mein CAA mukhalif muzahiroun ke douran giraftar kiye gaye apne kunba ke afraad ki rihayi ka mutalba kiya. Unhoun ne kaha ke ”ham shehriat ke qanoon ke khilaaf aur zilai intizamia ke khilaaf hain, Jis ne be gunah logoun ko giraftar kiya hai, Jo qanoon ki mukhalifat kar rahay they. Hum ne is masla ko Ullma e karaam aur Molvioun ke sath uthaya hai aur ab hum is ke khilaaf ehtijaj kar rahay hain.

Ek khatoon Soni ne kaha ”Mire 20 sala bhai Rahil ko ghair qanooni tor par police ne giraftar kiya aur jail bheja“. Is terhan samaji karkun Faisal Khan Lala ne kaha ”Jin 13 afraad par muqadma darj kiya gaya tha aur inhen jail bhaij diya gaya tha, Is ki ek fehrist SP Rampur, Santosh Kumar mishra ko di gayi thi aur unhoun ne yaqeen dilaya hai ke be qusuroun ko raha kiya jaye ga“.

Rampur ke zilai Magistrate Aunjaneya  Kumar Singh ne kaha ”Jamia masjid ke andar ek ehtijaj jari hai. jo 21 decemeber ko honay walay tashadud mein shaamil hain, Hum ne saboot akhatta kiya hai“. Unhoun ne mazeed kaha” Jab hum ne Jamia masjid committee se muzahireen ki fehrist bhejnay ku kaha, To unhoun ne dar haqeeqat tamam mulzimaan ke naam beje, Jin ke khilaaf hamaray paas saboot hain. Tamam loog is jurm mein mulawis they“. District magistrate ne kaha mai police aur deegar intizami ohdedaroun ke sath, Be gunaaho ko jail se reha kar vane ke liye koshan hon. –YTN STAFF