Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaRamnath Kovind aur Narendra Modi ney Youm-e-Asateza ke mauqa par Asateza...

Ramnath Kovind aur Narendra Modi ney Youm-e-Asateza ke mauqa par Asateza ko mubarakbad pesh ki

New Delhi : Aaj 5 September ko poorey mulk mein youm-e-asateza badey hi josh wo jazbay ke sath manaya ja raha hai. yeh din Hindustan ke sadar, Sarvepalli Radhakrishnan ki yom-e-paidaiesh ke mauqa par manaya jata hai. aur aaj un ki 131st yom-e-paidaiesh hai.

Youm-e-Asateza ke mauqa par schooloun mein mukhtalif programoun aur ranga rang taqarib ka ineqad kiya jata hai.

Aaj Youm-e-Asateza ke mauqa par sadar Jamhooria ram nath kovind, aur wazeer-e-aazam Narendra Modi ney mulk bhar ke Asateza ko mubarakbaad paish ki hai. sadar ram nath kovind ney tweet kar ke likha ”Youm-e-Asateza ke din Dr Sarvepalli Radhakrishnan ko kharaaj paish karta hon aur mulk ke tamam Asateza ko mubarak baad dete hue, naik khwahisaat paish karta hon. woh hamaray noujawanoun ko eqdaar aur nazriaat ke sath ilm haasil karne aur khawab dekhnay ki tar ghaib dete hain. aur qoum ki taamer mein unka numaya hissa hai.

Wahein wazeer-e-aazam Narendra Modi ney bhi Tweet karte hue likha ”Youm-e-Asateza ke mauqa par tamam Asateza ko dil ki gehraion se mubarakbaad, Hindustan ney DR Sarvepalli Radhakrishnan, jo ek ghair mamooli ustaad aur guru they, unki yom-e-paidaiesh par inhen kharaaj paish karta hon. –YTN STAFF