Sunday, May 4, 2025
HomeLatest NewsRamadan Mein Haram Shareef Ki Teesray Towsee Ka Kaam

Ramadan Mein Haram Shareef Ki Teesray Towsee Ka Kaam

Riyadh: Haram shareef ki teesri towsee ka kaam ramadaan mein kiya ja raha hai taakay ziyada se ziyada bandagaan towheed ko yahan ibadaat ka mauqa mil sakay. Deputy governor mecca mukkarmah regain shehzada Badar bin Sultan ney haram muki al shareef ke teesray Towsee marhalay ka jaiza liya aur apne itminan ka izhaar kiya, tafseelaat ke mutabiq deputy governor ko bataya gaya ke jari taraqiyati kaam Ramadaan ul mubarak ke aaghaz tak mukammal hojayega .

Haram Muki shareef ke teesray Towsee mansoobay ki takmeel ke baad yahan baik waqt 2 laakh 80 hazaar afraad namaz ada kar sakenge. mahe Ramadan ul mubarak mein duniya bhar se mutamirin ki aamad jari rehti hai. badi tadaad mein log is mahe mubarak mein Umrah ki Saadat haasil karte hain. Haram Muki al sharif ke teesray Towsee marhalay ki takmeel se mutamirin aur zaireen ko kaafi sahoolat hogi .

Haram Muki shareef ki teesri towsee ka sab se bada marhala Shah Abdul Aziz gate aur uskay samnay bus stand ka hai jahan ramadaan ul mubarak ke dowran sab se ziyada asadaham rehta hai .

Bus stand se fee ghanta 50 hazaar afraad mustafeez hotay hain jo haram shareef se taqreeban 10 se 15 kilo meter door ki parking mein gadi khadi karke shuttle bus service ke zariye haram shareef atay hain .

wazeh rahay Ramadan ul mubarak aur Hajj season mein deegar shehron se apni gadiyon mein Mecca mukarramah anay walon ke liye kudi ke ilaqay mein wasee wo Areez parking lots makhsoos hain jahan woh apni gadiyaan park karkay bus ke zariye haram shareef atay hain .

Doosri janib masjid nabwi ﷺ may idaara umoor harmain ki janib se istaqbaal ramadaan ke hawalay se jari tayario ke zimn mein smart qaleen bichanay ka aaghaz kar diya gaya .

Idaara umoor masjid nabwi al sharif ﷺ ke director Bandar al husaini ney Saudi khabar rasaan agency ko bataya ke naye qaleen mukammal tor par Saudi arab mein tayyar kiye gaye hain jin mein smart chup lagayi hai .

Naye tayyar kiye gaye khusoosi qaalinoun ko makhsoos andaaz mein banaya gaya hai jo mousmi asraat se mehfooz rahenge aur unkay istemaal ki muddat bhi ziyada hogi. naye bichaya jaane walay qalinoun ki tadaad 20,700 hogi.- YTN STAFF