Tuesday, April 30, 2024
HomeTrending NewsRamadan mein awam ki sahuliyaat ke liye Restaurant ke auqaat mein...

Ramadan mein awam ki sahuliyaat ke liye Restaurant ke auqaat mein tabdeeli

Riyadh: Ramadan ki aamad ke sath hi Saudi Arab mein wizarat dakhla ney elaan kiya hai ke Ramadan Ul Mubarak ke douran Restaurant sah pehar 3 bajey se subah 3 bajey tak khulay rahenge. Wizarat dakhla ney Ramadan Ul Mubarak ke douran Restaurant ka nazam ul uqaat tabdeel kardiya. Naye nizaam ke mutabiq Ramadan mein Restaurant sah pehar 3 bajey se subah 3 bajey tak khole jayenge. Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq Restaurants par jo pabandiyan Ramadan se qabal thi wo ab bhi rahengi. Koi bhi Restaurant apne yahan gahkoun ko khana pesh karne ka majaz nahi hoga. Home Delivery ya Home Application ke zariye Restaurant khanay peenay ki ashya pesh faraham karne ke majaz honge.

Restaurants ko hidaayat di gayi hai ke wo mutaliqa hukkaam ki janib se jari kardah hifzaan sahet ke zawabit ki pabandi karen. Home Delivery mein shaamil apne amlay se is ki pabandi karayen. Ramadaan se qabal Restaurants par pabandi thi ke wo raat 10 bajey tak hi khanay peenay ki ashya faraham kar saktay hain. Naye nizaam ul uqaat ke mutabiq inhen sah pehar 3 bajey se subah 3 bajey tak khanay peenay ki Service jari rakhnay ki ijazat dedi gayi.

Wizarat dakhla ney tamam Restaurants ko takeed ki hai ke wo sahet aama ki khatir hifazati iqdamaat ki pabandi karen aur mafaad aama se mutaliq jari kardah hidayat ka ehtram karen. –YTN STAFF