Wednesday, May 7, 2025
HomeTrending NewsRamadan ki aamad ke sath hi UAE mein qaidiyoun ki rihayi ka...

Ramadan ki aamad ke sath hi UAE mein qaidiyoun ki rihayi ka hukum

Dubai: UAE ke sadar Khalifa bin Zayed Al Nahyan ne Ramadan ki aamad par 1511 qaidyoun ki rihayi ka hukum jari kiya hai. Reha kiye jaaane walay qaidi qarzay ada na karne ki wajah se Jailoun mein band hain. Emarat ke sadar un ke qarzay apni taraf se ada karenge. Tafseelaat ke mutabiq UAE ka mamool hai ke is ki qayadat Afoo o dar guzar aur rava daari ke jazbay se Ramadan, Eid Ul Fittar aur Eid Ul Adha ke mawaqay par aisay qaidyoun ki rihayi ke farmaan jari karti hai jo islaah khaanoon mein hotay hain ya qarzay ada nah karne ki wajah se qayed kardiye jatay hain.

Emarat ke naib sadar aur Haakim Dubai Sheikh Mohammad Bin Rashid Al Maktoum ne Ramadan ki aamad par mukhtalif mumalik ke 874 qaidyoun ki rihayi ka hukum diya. Unhoun ne is khawhish ka izhaar kiya ke ye loog ibadat ka maheena aur phir Eid Ul Fittar ki khusihyan apne ahal o hayal ke sath mana saken. Dubai Police ne faislay par amal daraamad shuru kardiya. Emarat ki ek riyasat Ras al Khaimah ke hukmaran Saud bin Saqr Al Qasimi ne Ramadan ki aamad par 584 qaidyoun ki rihayi ka hukum jari kiya. Ras al Khaimah ki Jailon mein qayed muqami aur ghair mulki raha kiye jarahay hain.

Arab Emarat ki ek aur riyasat Al Fujairah ke haakim Mohammed bin Hamad bin Mohammed Al Sharqi ne 72 qaidyoun ki rihayi ka hukum diya hai. Unhoun ne khawahish zahir ki ke ye loog achi zindagi shuru karenge aur un ki rihayi se inhen aur un ke ahal khanah ko khoshi milegi. –YTN STAFF