New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi general secretary Abdul Majid KH ne apne jari kardah akhbaari bayan mein kaha hai ke Ram Mandir ki taamer ke liye State Bank of India ke zariye raqam jama karna itna hi ghair ikhlaqi hai jitna Babri Masjid ki maqboza zameen par Ram Mandir ka taamer kiya jana hai aur yeh hamaray mulk ki Secular fitrat ko challenge karta hai. Mulk par junooni fashst quwatoon ke hukmarani ke bawajood Hindostan abhi bhi aik Secular mulk hai.
Mahatma Gandhi ke qatal ke baad Babri Masjid ko masmaar karna azad Hindostan mein dehshat gardi ki doosri sargarmi thi. Babri Masjid ki zameen ko ghair qanooni tor par Supreme Court nay Mandir taamer karne ke liye day diya tha. Adalat nay yeh faisla apne hi inkishafaat ke bar aks diya tha keh is baat ka koi saboot nahi mila tha ke Masjid ko kisi Mandir ko tabah karkay banaya gaya tha aur Masjid ka inhedam ghair qanooni tha. SDPI qaumi general secretary Abdul Majid KH nay is baat ki taraf khusoosi nishandahi karte hue kaha hai ke Mandir ki taamer ke liye State Bank Of India fund jama karne ka mojooda iqdaam Modi hukoomat ka aakhri ghair ikhlaqi aur seculer mukhalif amal nahi hai.
Is muamlay par naam nihaad secular partiyon ki khamoshi markazi hukoomat ke secular mukhalif amal se kahin ziyada tashweesh-naak hai. Aisa lagta hai ke unhoun nay Modi hukoomat ki tamam jamhoori aur secular mukhalif sar garmion ko qubool karliya hai jis ki wajah se hukoomat apne tamam fashst agenda ko aasani ke sath nafiz karti aa rahi hai. Jab taq mulk ke secular zehniat rakhnay loog mulk ko manosmarti par mabni Hindu Rashtra mein tabdeel karne ke RSS ke Agenda ki muzahmat aur shikast dainay ke liye agay nahi ayen ge to tanawu ka Hindostan sirf ek maazi ki daastaa’n ban karra jaye ga. Abdul Majid KH ney ekhtataam mein kaha hai ke Mandir ki taamer ke liye State bank ka istemaal karkay fund akatha karne ke mojooda mansoobay ke khilaaf ehtajaji aawaz buland hona chahiye.