New Dehli: Wazeer mumlikat baraye khazana Anorag Singh Thakur ne, chhootey sarmaya karon ke mafadaat ke tahaffuz aur Chit fund zay ki karwaiyoun mein shafafit laane ke maqsad se mangal ke roz Rajya Sabha mein Chit Funds ( tarmeemi ) Billl, 2019 pesh kiya. is Billl ko pesh karte hue, wazeer Mosoof ne kaha ke ye Chit Funds ko ziyada Sarif dast, shafaaf banane ke liye tayyar kiya gaya hai.
Thakur ne kaha, hum chhootey sarmaya karoun ke mafadaat ke tahaffuz ke liye ek Bill laaye hain, is Bill mein Chit Fund Act 1982 mein tarmeem ki koshish ki gayi hai. Chit Funds kam aamdani walay garohon ke logoun mein maqbool hain, kyunkay ye unke tahaffuz ke liye ek Tool muhayya karta hai aur zaroorat padney par Paise bhi letay hain
Banks aur deegar idaron ke sath Chit Funds ne maali shamoliat mein ahem kirdaar ada kiya hai. ye raqam aur sarmaya kaari ki raah mein asan rasai faraham karta hai. is Bill par apne ibtidayi bayan mein, wazeer ne kaha ke agar Registered huwa to Chit Fund zay qanooni hain.
Chit Funds ( tarmeemi ) Bill 2019 mein Chit Funds ke liye maliyati hudood mein 3 gina izafah karne ki tajweez hai aur fund ka inttam karne walay shakhs ke liye Commission ko ab 5 fesad se badha kar 7 feesad kar diya jaye ga. is ke mutabiq, afraad ke liye mojooda had 1 Lakh se badha kar 3 Lakh rupiye kar di gayi hai. farmoun ke liye is waqt had 6 lakh se 18 Lakh hogi. – YTN STAFF