Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaRajya Sabha ki 55 nashitoun ke liye 26 March ko intikhabaat

Rajya Sabha ki 55 nashitoun ke liye 26 March ko intikhabaat

New Delhi: Rajya Sabha ke liye 17 reyastoun ki 55 nashitoun ke liye 2 salah intikhabaat 26 March ko hoga. Election Commission ki taraf se jari bayan ke mutabiq un 17 reyastoun se muntakhib kiye gaye Rajya Sabha arakeen ka muddatkar April mein khatam hora hee hai. Un mein Deputy Chairman Harivansh Narayan Singh, Motilal Vora, Ramdas Athawale, Digvijaya Singh, Dr Sanjaya Sinh, Selja Kumari, Vijay Goel, Prem Chand Gupta, Tiruchi Siva waghera ahem hain.

Commission ke mutabiq intikhabaat ka aalamia 6 March ko jari hoga aur 13 March ko namzadgi, 16 ko parcha namzadgi ki jaanch aur 18 March ko naam wapas lainay ki aakhri tareekh hogi. Maharashtra, Odessa, Tamil Nadu aur maghribi Bengal se muntakhib kiye gaye arakeen 2 April ko subukdosh hojaien ge jabkay Andhra Pradesh, Telangana, Bihar, Jharkhand, Rajasthan, Gujrat, Manipur, Assam, Chhattisgarh, Haryana, Madhya Pradesh aur Himachal Pradesh ke arakeen ka muddatkar 9 April Meghalaya ke arakeen ka 12 April ko khatam hogi.

Maharashtra ki saat, Odessa ki 4, Tamil Nadu ki 6, Maghribi Bengal ki 5, Andhra Pradesh ki 4, Telangana ki 2, Assam ki 3, Bihar ki 5, Chhattisgarh ki 2, Gujrat ki 4, Haryana ki 2, Himachal ki 1, Jharkhand ki 2, Madhya Pradesh ki 3, Manipur ki 1, Rajasthan ki 3 aur Meghalaya ki 1 Rajya Sabha nashitoun par intikhabaat hon ge. –YTN STAFF