Monday, April 21, 2025
HomeHyderabadRajiv Gandhi Ke 75th Yom-E-Paidaiesh Taqreeb Ka Gandhi Bhavan Mein Kiya Gaya...

Rajiv Gandhi Ke 75th Yom-E-Paidaiesh Taqreeb Ka Gandhi Bhavan Mein Kiya Gaya Ineqad

Hyderabad : Sabiq wazeer-e-aazam Rajiv gandhi ke 75th yom-e-paidaiesh ki taqrebaat mangal ko yahan party head quarter Gandhi bhavan mein munaqqid hui. TPCC saddar N Uttam kumar reddy aur party ke deegar rehnumao ne Rajiv gandhi ki tasweer par phool chadhatay hue inhen kharaaj aqeedat paish kiya.

Baad azan unhon ne Indra Bhavan mein youth congress ke rehnumao ke zair ahtma meem munaqidah khoon ke atiyah ka iftitah kiya. unhon ne Somajiguda chaurahe par sabiq wazeer-e-aazam ke mujasmay ko phool- chadha kar kharaaj paish kiya. senior rehnuma Hanumanth rao ki janib se Rajiv gandhi ka yom-e-paidaiesh mananay ke liye ek khusoosi programme munaqqid kiya gaya.

Is mauqa par khitaab karte hue, Utttam kumar reddy ne is din ko khaas din qarar diya. unhon ne kaha ke woh riyasat ke har gaon mein sabiq wazeer-e-aazam ki saalgirah taqrebaat karwarahay hain. unhon ne pichlle 18 saloun se SomajiGuda mein Rajiv gandhi ki saalgirah ki taqrebaat munaqqid karne par Hanumanth rao ka shukriya ada kiya. unhon ne ilzaam lagaya ke BJP qaideen congress ke Legendry pandit Jawahar lal Nehru aur Mahatma Gandhi ko bator villain pesh karne ki koshish kar rahay hain. –YTN STAFF