Friday, April 26, 2024
HomeEntertainmentRajat bedi ki car se takrane wala shaqs faut adakar ke khilaf...

Rajat bedi ki car se takrane wala shaqs faut adakar ke khilaf muqadma darj

Mumbai: Bollywood star Salman Khan ki jaanib sadak ke kinare mahu khawab afraad ko takkar dene ka muqadma hunooz awaam ke zehno mein taaza hai ab unki film partner mein kaam kar chuke Rajat bedi ne bhi apne saathi ki tarha ek shaqs ko takkar di hain aur woh dawaqane mein zaqmon se jaanbar na ho saka jiske baad muqadma darj kar liya gaya hai.

Tafseelat ke ba maujib nawahi ilaaqe andheri mein Bollywood adakar Rajat bedi ki gaadi se sadak hadse mein zaqmi hone wala paidal chalne wala ilaaj ke dauran chal basa. Ek auhdedar ne kaha ke dair raat zaqmi mutasira shaqs ki maut ke baad DN Nagar police ne adakar ke khilaf darj FIR mein taziraat hind ki dafaa 304 A gaflat se maut ki wajeh shamil ki hai. Unho ne kaha ke adaakar ko abhi tak giraftar nahi kiya gaya hain. Hadse ka shikar ek mazdoor Rajesh bodh ko koper dawaqane mein murda qaraar diya gaya jaha woh gujishta do dino se zaire ilaaj tha. Police ke mutabiq yeh waqia Monday ki shaam andheri ke ek mandir ke khareeb paish aaya jab adakar ghar ja raha tha. Paidal chalne wala jo ke nashe ki halat mein tha achanak sadak ke beech mein aaya aur adakar ki gadi se takra gaya is se pehle ke woh break lagaye.

Police ne kaha hai ke adaakar zaqmi shaqs ko khareebi koper dawaqane le gaya aur phir DN Nagar police station gaya jaha usne is waqia ke baare mein duty par maujood police officer ko agah kiya. Police ne adakar ke khilaf taziraat hind ki dafaa 279 (jald baazi mein driving) aur 338 (zindegi ko qatre mein dalne ya dusron ki zaati hifazat ko shadeed nuqsan pohunchane) ke tehat muqadma darj kiya tha. Bedi ne kayi filmo mein kaam kiya hain. Jin mein Hrithik Roshan ki film koie mil gaya aur partner qaabil e zikr hai jis mein salman khan hero hain.