Jaipur : Rajasthan hukoomat ne Mahatma Gandhi jayanti ke mauqe par Pan Masala aur Magnesium carbonate, nicotine, tambaku ya madni tel par mushtamil zayeqadaar supari ki paedawar,storage, farokht aur taqseem par pabandi aaed karne ka elaan kiya hai. Ek sarkari bayan ke mutabiq, rajasthan, Maharashtra, bihar ke baad teesri riyasat ban gaya hai jahan un masnoaat par mukammal pabandi aed hai.
Medical and health Dr Raghu sharma nay kaha ke noujawanon mein manshiat ki latt ko roknay ke liye yeh ahem iqdaam uthaya gaya hai. un madaon ki tasdeeq reyasti central public health laboratory Rajasthan mein hogi. sharma nay kaha ke food safety act ke tehat aisi tamam masnoaat par mukammal pabandi hogi.
Wazeh hoke isse qabal hukoomat nay E-cigrette aur huqqa parlours par bhi pabandi aed ki thi. –YTN STAFF