Thursday, May 8, 2025
HomeIndiaRajasthan ka qabil nafrat siyasi Drama khatam kiya jaye. SDPI

Rajasthan ka qabil nafrat siyasi Drama khatam kiya jaye. SDPI

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi general secretary Mohammad Shafi ney apne jari kardah akhbaari aalamia mein Rajasthan mein BJP ki taraf se arkaan Assembly ki khareed o farokht ki sakht muzammat karte hue BJP aur Congress dono se Rajasthan mein qabil nafrat siyasi Drama ko khatam karne ko kaha hai. Mohammad Shafi ney mazeed kaha hai ke 2014 mein Modi aur un ki team ke zariye iqtidaar sambhalnay ke baad se Hindustan mein jamhoriat ko Ventilator par lagadiya gaya hai. Intehai dayen bazoke fashishtoun ke zariye mulk ke tamam jamhoori usooloun ku nishana banakar qatal kiya jaraha hai.

BJP ke zariye ghair jamhoori siyasi khareed o farokht ki fehrist mein Rajasthan taaza tareen riyasat hai. Jamhoori tareeqay se muntakhib honay walay arakeen Assembly bhaari raqam mein khareeday jatay hain aur BJP ke zariye congress ki hukoomatoun ko giraya ja raha hai. BJP ne Karnataka aur Madhya Pradesh mein is ghenaone kaarobar ko kamyabi ke sath anjaam diya hai. Afsos ki baat hai ke sadi purani congress party ke arkaan Assembly BJP ki taraf se pesh kardah dilkash pesh kashoo ko thukrane mein nakaam rahay hain. Unhoun ne apne zaati azaim ke liye mulk o awam ke mafaad ko

baalaye taaq rakh diya hai. BJP darasal doubtey jahaaz ke mallahoon ko nikaal rahi hai. Congress ko ye yakeeni banana chahiye ke party mukammal tor par BJP ki taraf se mutasir nahi hai.

Is terhan ke bohranoun ko sanbhalne ke liye congress ke paas mazboot leadership nahi hai. Ashok Gehlot ke sath Sachin Pilot ka mojooda maamla Madhya Pradesh mein Kamal Nath ke sath Jyotiraditya Scindia mukhtalif nahi hai. Congress mein puranay leaders ko manoos karne ke liye qabil nojawanoun ko kenare kiya ja raha hai. Madhya Pradesh aur Rajasthan mein isi ki wajah se Congress party masail se dochar hai. SDPI Indian National Congress se darkhwast karti hai ke wo party ko mukammal tabahi se bachanay ke liye party set up ki tashkeel no karte hue muhib watan aur awam nawaz leaders ko agay laaye aur congress party mein shaamil nojawanoun se darkhwast karti hai ke wo mulk ko fashishtoun ke chungal se azad karanay ke liye zaati azaeem se ziyada mulk aur awam ke mafaad mein dilchaspi rakhain.