Amravati: Hukoomat AP ney 252 qaidyoun ke ilaaj ke iqdamaat shuru kiye hain jo Rajahmundry Jail mein corona se mutasir hue. Jail hukkaam ney un ko tibbi kits bhi faraham kiye hain. Jail ke baher ke Doctors ko jail bheja gaya taakay un ki sahet par nazar rakhe jasakay. Covid-19 se mutasirah qaidyoun ke meino mein taghzia bakhash khizaon jaisay Anday, Doodh, Daalon aur Pattay wali sabzion ko shaamil kiya gaya hai. Hukkaam ney un ki qowat mudafat mein izafah ke bhi iqdamaat kiye hain.
Mojooda tor par is Jail mein 1200 qaidi hain jin mein se 1000 ke maayne kiye gaye. Isi douran Deputy DM and HO Dr Komala ne kaha ke baqiya 200 qaidyoun ka bhi muaina kiya janachahye aur jin qaidyoun ki tibbi jaanch pehlay hi hochuki hai, Un ki reports jald hi jari ki jani chahiye. Rajahmundry Central Jail mein qaidyoun ke ilaaj ke liye 3 Doctors ki khidmaat dastyab hain. Un mein se ek Dr Covid-19 se mutasir paya gaya.
Deputy DM and HD Dr Komala ki nigrani mein qaidyoun ko tibbi khidmaat faraham kar raha hai. Unhoun ne kaha kay hukkaam se khwahish ki gayi hai ke wo ek aur Dr ki khidmaat haasil kere. Unhoun ne kaha kay aisay qaidi jo misbet paye gaye, ko khusoosi barracks mein allag thalag rakha gaya hai. Unhoun ne kaha ke aisay qaidi jin ki haalat tashweesh-naak hai un ko behtar ilaaj ke liye sarkari hospital muntaqil karne ke iqdamaat kiye jarahay hain. Zaroorat padney par un ko ICU mein rakha jaye ga aur tibbi khidmaat faraham ki jayen gi.