Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaRailway security app tayyar, chalti gaari mein honay walay juraim ka sad-e-baab...

Railway security app tayyar, chalti gaari mein honay walay juraim ka sad-e-baab mumkin

Hindustani railway ka aik mushtarqa rail security mobile app tayyar hochuka hai jis se gariyon mein honay walay juraim ki chalti gaari mein report darj karna aur is par fori tor par qaboo paana mumkin ho jaye ga. RPF ke director general arun kumar ney yahan aik virtual press conference mein bataya ke government railway police(GRP) aur railway protection force (RPF) ka yeh mushtarqa app tayyar hogaya hai. Covid waba ki wajah se usay muta-arif nahi kya jaska tha lekin ab jald hi usay muta-arif kya jaye ga .

Unhon ne kaha ke common railway security app mein mauqa aur wardath par mutasireen ke bayan aur report ko online darj karne, saathi musafiron ke bayan darj karne ki sahoolat mojood hogayi, jis ki bunyaad security forces apni zurori karwai shuru kar sakti hain. Musafir report darj honay ke baad Aram se ghar bhi ja sakay ga aur woh app par apni report par karwai ki nigrani bhi karsaktha hai. kumar ne kaha ke app ko koi bhi musafir apne mobile par download krskta hai hai. gariyon mein chalne walay railway mulazmeen RPF aur GRP ke ohdedaron ke paas bhi mobile app hai.

ALSO READ: Corona ne lakhoon afraad ko lakhpatti banadiya

Traino mein khawateen musafiron ki hifazat ke liye kiye jaanay walay iqdamaat ka zikar karte hue unhon naay kaha ke covid ke daur mein takriban 6000 khawateen ka constable ko bharti kya, jis e RPF mein khawateen ohdedaron ka tanasub 9feesad ho gaya hai. kisi bhi markazi police force mein yeh khawateen ki sab se ziyada tadaad hai. unhon naay kaha ke is se RPF ke meri saheli mansoobay ko taqwiyat mili hai, jis mein akeli safar karnay wali khawateen musafiron ke reservation chart se shanakht karkay train mein tainaat khawateen constable un se seat par jaker rabta karti hai aur apne number de kr unhe security ko number dey kr dhani krwati hai.

Kumar ne kaha ke RPF ne railway ihatay mein security ko behter banana ke liye wasee mansoobay banaye hain. ab tak 6094 station par CCTV camera lagaye ja chukay hain aur woh poori digital nigrani ke dair mein aagaye hain. CCTV cameron ki musalsal nigrani ke liye divisional satah par control room qaim karne ka mansoobah hai.