Monday, May 6, 2024
HomeIndiaRailway ki najkari: Markazi hukoomat apne dostoun ko mulk ki jaedad farokht...

Railway ki najkari: Markazi hukoomat apne dostoun ko mulk ki jaedad farokht kar rahi hai. SDPI

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi general secretary Abdul Majeed ney apne akhbaari aalamia mein markazi hukoomat ke haliya eqdameem jis mein niji companiyoun se musafir trains ki Operating ke liye Request for Qualification talabb kiya gaya hai is ko afsoosnaak qarar dete huve Narendra Modi hukoomat par ilzaam laga ya hai ke wo apne sathiyoun ko mulk ki jaedad farokht kar rahi hai. Abdal Majeed ney mazeed kaha hai ke azadi ke baad ki tareekh mein Hindustan ek aisi markazi hukoomat ka mushahida kar raha hai jo muashi Management mein buri terhan nakaam hai.

Maeeshat ki bahaali ke liye hukoomat ke paas koi vision ya koi mansoobah nahi hai. Is waqt mulk mein sirf ek muashi sargarmi horahee hai wo petrol aur diesel ki qeematoun mein baqaida izafah karne ki sargarmi hai. Hukoomat ne Corporate tax mein narmi kar di hai jo sirf Corporate ku apna bank balance badhaane mein madad faraham karti hai aur sarkari khazanay mein taxon ki aamdani kam karti hai. Covid-19 ki wajah se hindustani maeeshat par koi assar nahi pada hai balkay wabai marz phelnay se pehlay hi hindustani maeeshat zawaal ka shikaar thi. SDPI qaumi general secretary Abdul Majeed ne is baat ki taraf khusoosi nishandahi karte hue kaha hai ke hukoomat ke paas vision aur mansoobah bandi ki kami hai isi liye maali khasaray ke azale ke liye wo public sector ko farokht kar rahi hai. Is farokht ke amal ki fehrist mein taaza tareen Railway hai.

Markazi hukoomat ne 151 jadeed trains ke taaruf ke zariye 109 Roots par up aur down chalne wali musafir Trains ki operating ke liye niji companiyoun se request For Qualification talabb ki hai. Ye public Sector ki najkari ka taaza tareen iqdaam hai. Hukoomat pehlay hi ye elaan kar chuki hai ke’  strategic sactors ke ilawa tamam public Sector under Techniques ( PSU ) ko farokht kardiya jaye ga. Jab azaadi mili to Hindustan ek aisa zarayi mulk tha jo baday maali khasaray ka saamna kar raha tha aur Javaharlal Nehru ki sarbarahi mein azad Hindustan ki pehli hukoomat ne is sorat e haal ka bakhoobi 5 sala mansoobah banaye gaye aur is par amal daraamad kiya gaya. 5 sala mansoobay ki nigrani ke liye ek planning commission tashkeel di gayi. Is 5 sala mansoobay aur taqreeban tamam ilaaqoun mein PSU ke qiyam se mulk ki taraqqi mein madad mili thi. Modi hukoomat ney 5 sala mansoobay ko band kardiya aur planning commission ko bhi khatam kardiya tha.

Sarkari khazanay mein kami horahee aur hukoomat PSU farokht karkay is ka hal nikaalte ka soch rahi hai. BJP ka khazanay ka sandooq PM Care Fund mukhtalif zaraye se jama ki gayi raqam se bhar raha hai. Mulk fashist hukmarani ke tehat Socialist, Wifaqi, Falahi riyasat ke tasawwur se aamranah sarmaya daarana nizaam ki taraf badh raha hai. Pasmandah tabqaat ki falah-o-behbodh ke liye is ke khilaaf sakht jad-o-jehad karna zurori hai. SDPI qaumi general secretary Abdul Majeed ne hukoomat par zor diya hai ke wo awaami amlaak aur Corporates ke haath mulk ki khudmukhtaari hawalay karne se baaz rahay aur tamam ghair BJP partiyoun se appeal kiya hai ke wo fashist hukoomat ke tabah kun aqdamat ke khilaaf agay ayen.