Monday, May 6, 2024
HomeIndiaRailway ki arziyat ko khangi shoba ke hawalay karne Modi hukoomat...

Railway ki arziyat ko khangi shoba ke hawalay karne Modi hukoomat ki tayyariyan

New Delhi : Markaz ki Modi hukoomat ney railway aur is ki malkiyatoun ko khangi hathoun mein thamadene ka khaka tayyar kar liya hai. hukoomat ki nazrein railway ki araazi par hai. mulk bhar mein phailey mukhtalif wizaraton aur awaami machineries ki qeemti zameen par markazi hukoomat ki nazrain pehlay se lagi hui theen, lekin pehli martaba hukoomat ney parliment mein bazabta elaan karte hue is zameen ka khangi shoba ki madad se tijarti istemaal ki baat kahi gayi hai. wazeer-e-maalyaat Nirmala Sitharaman ney budget taqreer mein wazeh kar diya ke sarkari araazi ke development ke liye khangi shoba ka taawun liya jaye ga. mulk mein sab se ziyada zameen fouj aur railway ke paas hai. is ke alawa air India , airport authority of India aur deegar awaami machineries ki besh qeemti arziyat  shehron mein padi hain .
Railway ki ziyada tar zameen chote badey shehron ke bichon beech hai. parliment ki PAC yani public Accounts committee report ke mutabiq, Railway ke paas 4 laakh 58 hazaar 588 hectares zameen hai. un mein se 46 hazaar 409 hectare zameen khaali padi hai, jab ke 931 hectares par ghair qanooni qabza hai. kabeena ki iqtisadi umoor ki committee ney July 2015 mein zameen 40 se 99 saal ki lies par dainey  ka faisla kiya tha. tab hi markazi wazeer Ravi Shankar prasad ney kaha tha ke railway ki zameen ko ziyada se ziyada 99 saal ki least par diya ja sakay ga. PPP model mein station   ki baz abadkari ke liye indian railway station development corporation ki tashkeel pehlay hi ki ja chuki hai. railway zameen par hotel, restaurant, commercial complex, food plaza ki taamer ki jayegi. is ke alawa builder railway ki zameen par kaseer manzila emiratein bana kar farokht karsakenge.

Sahuliyaat ke naam par musafiron se mann maani vasuli bhi shuru ho chuki hai. misaal ke tor par nai Dehli railway station par waiting hall tax lena shuru kar diya gaya hai. yeh 10 se le kar 50 rupay fi ghanta hai. is mein general chair aur sofay ke kiraya alag alag hain. is ke alawa kuch waqt ke baad sherhein badhti jayengi. agar rail mein takhir hai to hosakta hai ke rail kiraya se ziyada musafir ko waiting hall mein teharney  ka kiraya dena pad jaye. wahein, parking ki sherhein bhi pehlay se kahin ziyada kar di gayi hain. waisay, yeh station hukoomat ki baz abadkari mansoobah mein abhi shaamil nahi hua hai. –YTN STAFF