Dholpur: Congress ke sadar Rahul Gandhi ne wazeer-e-azam Narendra Modi par guzashta paanch barsoun mein 15 doulat mand afraad ko faida pohanchanay ka ilzaam lagatay hue kaha ke markaz mein Congress ki hukoomat bannay par ek saal mein 22 laakh sarkari mulaazmaten di jayengi .
Rahul Gandhi Dholpur mein congress umeed waar ki himayat mein munaqqid jalsa aam mein taqreer kar rahay they. inho ne kaha ke unki NYAY scheme se pooray mulk ko fayda honay wala hai aur 10 laakh nojawanon ko mulk ki panchayat mein rozgaar diya jayega .
Inho ne kaha ke note-bandi aur GST ke nifaz se awam ne maal khareedna band kardia hai jis se factories band hogyai hain aur mulaazmaten kam hogayi hain aur be-rozgari mein izafah Hua hai is ke baraks NYAY scheme se awam ke jaib mein paisa aeyega to woh maal khareedainge. factories shuru hongi aur rozgaar mein izafah hoga .
Rahul Gandhi ne ilzaam aed kiya ke Modi ne guzashta paanch barson mein 15 Ameer logon ke khatay mein paanch laakh crore rupay se ziyada rupay daaley. inho ne Rafael saudey mein sanatkar Anil ambani ko faida pohanchaya. Rahul gandhi ne markaz ki Modi hukoomat par Dholpur, Karoli railway Brigade line ka kaam roknay ka ilzaam bhi lagatay hue kaha ke congress ki hukoomat bani to is kaam ko phir se shuru karwaya jayega .
Guzashta assembly intikhabaat ke waqt congress ne kisanon ka 10 din mein qarz maaf karne ka wada kiya aur Rajasthan, Madhya pradesh aur Chateesgarh mein Congress ki hukoomat ban’nay par usay poora bhi kiya jabkay Modi ne kisanon aur nojawanon ke sath jhute waday kiye .
unhon ne tib aur taleem mein behtari ke liye sarkari dawakhanoun aur Universites qaim karne aur block satah par school aur hospital khole jaane ka wada bhi kya. qanoon mein tabdeeli lakar tijarat shuru karne ke liye teen saal tak sarkari ijazat ki zaroorat nahi hogi. Rahul gandhi ne kaha ke guzashta dinon unhon ne muashi mahireen se mulk ke ghareeb logon ke bank khatay mein rupay jama karne ka formula samjha aur is ke baad inho ne ghareeb ke khatay mein saal mein 72 hazaar rupay jama karne ka elaan kya .-YTN STAFF