Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaRahul Gandhi par manshiat ke istemaal ka ilzaam aaed karne par Subramanyam...

Rahul Gandhi par manshiat ke istemaal ka ilzaam aaed karne par Subramanyam Swamy ko adalat ki notice

Jaipur : Rajya sabha ke rukan-e-parliment Subramanyam Swamy ki janib se congress ke sabiq saddar Rahul gandhi par manshiat peenay ka ilzaam aed karne ke maamla mein, Jaipur additional district judge ( ADJ )- 1 adalat nay chaharshambe ke roz swamy ko notices jari karte hue inhen 11 September ko subah 10: 30 bajey adalat mein paish honay ka hukum diya hai. sath hi paanch July ko diye gay apne bayan ka jawab dainay ki Hidayat ki hai. adalat nay swamy ko apne wakeel ke tavassut se apna jawab daakhil karne ko kaha hai.

Pradesh congress committee ke general secretary Sushil sharma nay kaha ke unhon nay swamy ke ilzaam ke khilaaf, ACJM adalat mein darkhwast dair ki thi, jisay rad kardiya gaya tha. baad mein unhon nay ADjay- 1 adalat mein shikayat darj ki jahan unhon nay fouj daari zabita-e-akhlaq ki dafaa 357 ( 3 ) ke tehat ek crore rupiye ke muawza ka mutalba kiya. unhoun nay mazid kaha ke unki darkhwast ka jaiza letay hue adalat nay swamy se 11 September ko haazir adalat rehne ko kaha hai.

Wazeh hoke Subramanyam Swamy nay congress leader Rahul gandhi par ilzaam lagatay hue kaha tha ke ”woh cocaine  ka istemaal karte hain, aur agar woh dope test karwate hain to woh nakaam ho jatay hain. yeh bayan media channels, aur akhbarat ke zareya aam hogaya tha.

Swamy ke is bayan ke khilaaf karwai karte hue Sushil sharma nay adalat mein darkhwast dair ki hai ke yeh bayan Rahul gandhi aur congress ki Shabih ko daghdar karne ke liye jari kiya gaya hai. darkhwast guzaar nay mutalba kiya hai ke Subramanyam Swamy ko sir-e-aam maafi maangni chahiye. –YTN STAFF