Hyderabad. Sadar Congress Rahul Gandhi ney aaj inteqhabaat ka saamna karne Congress Party ki tayarion ka jaiza liya. Yaad rahay ke Chief Minister Telangana Mr. K.Chandrashekar Rao ney kaha tha ke woh Telangana Riyasat mein Reyasti Assembly ke inteqhabaat shumal ki chaar riyaston ke sath kar wane ke haq mein hain jahan Jaria saal mah Decemeber mein inteqhabat munaqqidshudni hain. Mr. K Chandrashekar Rao ke iss bayan ke baad siyaasi halqon mein yeh charchay honey lagey hain ke Telangana Assembly ke inteqhabaat waqt se paheley munaqqid ho saktay hain. Rahul Gandhi ney apne daura e Telangana ke dosray din aaj lecture dainey ki bajaye party qaideen ke sath dubado baat cheet ki aur un ke khayalat ki samaat ki. Unhon ney party ke kayi ahem qaideen ke sath shakhsi taur par waqt guzarah aur un ki hausla afzai ki ke woh bilaa khauf aur ghair janibdari ke party ki kamzoriyon ki nishandahi karen. Zaraye ke mutabiq Rahul Gandhi ney intehai inkisari aur apni makhsoos muskurahat ke saath har qayed se alahda alahda baat cheet ki. Congress qayideen un ke liye apne sadar ka waqt nikaalna aur un ki baat sunna gavaaraa karne par bahot hi masroor nazar arahay thay. Rahul Gandhi ney party qaideen ki baat cheet bohat hi tahammul se suntay rahey aur darmain mudakhlat nahi ki. Woh androon party, jari aapsi rassa kashi ko daur karne koshan hain. Samjha jata hai ke unhon yeh taasur diya ke un ki daanist mein Party mein jari dakhli kashakash, Telangana mein ayendah inteqhabaat mein mehngi pad sakti hai. Unhon ney dakhli ikhtelafat ko door karne ke liye party qaideen par zor diya ke aapas mein ek dosray ke khilaaf ulhajtay rehne se ziyada ahem party ko dobarah Iqtidaar mein lana hai. Agar Party qaideen aur karkun yun hi ek dosray ke khilaaf rahenge toh hum asal maqsad se door ho jaien ge. Ijlaas ke baad Sabiq wazir Sarweypally Satanarayana ney kaha ke tamam qaideen khushi mehsoos kar rahay hain ke Rahul Gandhi ney un ke sath waqt guzara. Umooman is qad ke qayideen, apni party ke kaarkunon se khitaab karkay chalta bantaa hai magar Rahul Gandhi ney party kaarkunon ko Sunna gavaaraa kiya. Is mauqa par mojud ahem qayideen mein Saddar Pradesh Congress Captain Uttam Kumar Reddy, Sabiq wuzraa Mohammad Ali Shabir, K Jana Reddy, Sabiq markazi wazir S Jaipal Reddy aur sabiq Rukn e Parliament K. Renuka Choudary shaamil hain.