Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaRahul Gandhi ne ematdarri ke waqeat par wazeer-e-aazam ki khamoshi par uthaye...

Rahul Gandhi ne ematdarri ke waqeat par wazeer-e-aazam ki khamoshi par uthaye sawal

Ranchi: Congress ke sabiq sadar Rahul Gandhi ne peer ko, mulk mein esmatdarri ke waqeat par khamoshi barqarar rakhnay par wazeer-e-aazam Narendra Modi par shadeed tanqeed ki. Unhoun ne kaha ke ”Hindustan duniya ka rape ka dar-ul-hukoomat ban gaya hai. Aur wazeer-e-aazam Narendra Modi ne esmatdarri ke waqeat par khamoshi ikhtiyar ki hai.

Uttar Pradesh mein un ke rukan Assembly par ek khatoon ke sath jinsi zayad-ti ka ilzaam aed kiya gaya, Unhoun ne khamoshi barqarar rakhi. Mulk mein khawateen ko jalaya jata hai, Inhen goli maar di jati hai aur un ke sath zayad-ti ki jati hai, Lekin Modi khamosh rehtay hin“.

Rahul Gandhi ne Hazaribagh zila ke Barkagao gaon mein ek really se khitaab karte hue ye baat kahi. Jahan reyasti hukoomat ki janib se 2 saal pehlay zameen ke husool ke ehtijaj karte hue 5 kisanoun ko qatal kiya gaya tha. Rahul ne kaha ke ”khawateen aur kisanoun ko golioun ka nishana banaya ja raha hai, Khawateen baghair kisi khauf ke gharoun se bahar nahi nikal sakteen.

Unhoun ne kaha ke ”Modi ne kisanon ki hifazat ka daawa kiya, Jabkay kisanoun ki zameen chean li ja rahi hai. Aur jab kisaan ehtijaj karte hain to wo maaray jatay hain. Hum ne kashtkaroun ki araazi ke tahaffuz ke liye araazi husool act muta-arif karaya tha, Lekin Modi ne is ki mukhalifat ki. Aur is act par amal dar aamad na karne ko kaha

Rahul ne kaha ke ”Modi bad unwani ke khilaaf ladne ka daawa karte hain, Lekin unka Jharkhnd wazeer aala sab se corrupt siyasat daan hai. Unhoun ne GST aur Modi parasti jaisay siyasi umoor par nishana lagaya. Aur kaha ”Aap ke pesey Adani aur Ambani ke hawalay kar diye ja rahay hain. Kiya aap ne Modi ko kisanoun ya ghareeboun ko gilaay lagatay hue dekha hai.? Kiya aap ne inhen sanat karoun ko gilaay lagatay hue dekha hai.? Ye hukoomat sirf 10 se 15 sanat karoun ke liye chalaye ja rahi hai. Awaami companys ko unke hawalay kiya ja raha hai.

Rahul ne mazeed kaha ke ”UPA ki hukmarani mein maeeshat taraqqi kar rahi thi aur duniya hindustan se sikhti thi. Ab Modi hukoomat ke daur mein mulk ki maeeshat kharab hui hai, Aur mulk mein nafrat ka mahol hai. Rahul ne kaha ke ”Modi hukoomat, ameer logoun ka karz maaf kar rahi hai, Lekin ghareeboun aur kisanoun ko nazar andaaz kar rahi hai. Usay bardaasht nahi kiya jaye ga. Mulk mein do shakle nahi ho sakti hain. Hamein aisay sangalz ki zaroorat hai, Jahan ghareeb, Kisaan aur Ameer ka karz maaf ho. –YTN STAFF