Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaRahul Gandhi Maharashtra aur Haryana mein intikhabi jalsoun se karenge khitaab

Rahul Gandhi Maharashtra aur Haryana mein intikhabi jalsoun se karenge khitaab

New Delhi : Pichle kuch arsay se qaumi siyasat mein ghair sargaram rehne par sawaloun ke darmiyan congress rehnuma Rahul gandhi ney Maharashtra aur Haryana mein munaqqid honay jarahay assembly intikhabaat mein intikhabi muhim chalanay ka faisla kiya hai.

Lekin woh sirf Maharashtra mein 13 aur 15 october ko, 2 jalsoun se khitaab karenge aur 14 october ko Haryana mein ek jalsa se khitaab karenge.

Party rehnumao ke mutabiq Rahul gandhi karnaal shehar se ek road show ke zareya apni intikhabi muhim ka aaghaz karenge. jo wazeer-e-aala Haryana manohr lal khattar ka aabadi halqa hai, jo is nishist ke liye phir se intikhab karanay ki maang kar rahay hain.

Rahul gandhi ke qareebi kuch congress rehnumao ney kaha ke woh party mein honay walay waqeat se na khush hain. Haryana congress ke sabiq saddar ashok tanwar ney guzishta mah HPCC cheif ke ohday se hataye jaanay ke baad party se istifa day diya tha.

Doosri taraf hkmran BJP in dono riyaston mein dhamakay-daar intikhabi muhim chalanay ka mansoobah bana rahi hai, jiske tehat wazeer-e-aazam Narendra modi Haryana mein 4 aur Maharashtra mein 9 intikhabi jalsoun se khitaab karenge. –YTN STAFF