Monday, April 29, 2024
HomeIndiaRahul gandhi ki tractor Rally mehez tafreeh

Rahul gandhi ki tractor Rally mehez tafreeh

Ajmer: Rajasthan ke Bhartia Janata party (BJP ) ke saddar Dr satish puniya ne ilzaam lagatay hue kaha hai ke congress rehnuma Rahul gandhi ki tractor Rally awam ke liye mehez tafreeh ke siwa kuch nahi hai.

Dr Puniya ajmeer municiple corporation campus mein mayor aur Deputy mayor ka ohda sambhalay ki taqreeb mein shirkat ke baad yahan media numaindon se guftagu kar rahay thay. unhon ne kaha ke woh decemeber 2018 mein bhi kayi raliyan nikaali theen aur is douran unhon ne das din mein 29 laakh kisanon ka qarz maaf karne ki baat ki thi lekin riyasat mein congress ki hukmarani ke bawajood ab tak 99 hazar crores  rupaye ka kisanoun ka qarz maaf nahi kiya gaya hai. unhon ne tanqeed karte hue kaha ke Rahul gandhi ko riyasat ke do roza doray ke douran qarz maafi ke waday ko wazeh karna chahiye kyunkay bohat se kisaan qarz ki wajah se mout ko galaay laga rahay hain. unhon ne congress par kisanon ke naam par mauqa parast siyasat karne ka bhi ilzaam lagaya.

Dr Puniya ne riyasat ki congress hukoomat ilzaam lagatay hue kaha ke hukoomat ka waqt mukammal hochuka hai. awam ka gussa shuru hi se congress ke khilaaf raha hai aur riyasat mein 90 idaron aur panchayat raj intikhabaat mein BJP  ko bartari haasil hui hai aur mojooda intikhabaat ka nateeja isi ka tarjuman hai.

Unhon ne kaha ke kabhi Rajasthan ka shumaar pur aman ilaqon mein hota tha lekin ab insaan to kiya bhagwan bhi mehfooz nahi hai. Jaipur mein jain mandir ke but ki chori ka hawala dete hue unhon ne kaha ke cogressi hukoomat ke do barsoun mein 5 laakh 80 hazaar muqadmaat darj kiye gaye hain. unhon ne cheif minister gehlot par tanz karte hue kaha ke yeh hukoomat be bas, lachaar aur kamzor hukoomat hai aur tamam mahazon par nakaam hochuki hai.