New Delhi : Congress ke rehnuma Rahul Gandhi ki qiyadat mein opposition jamaaton ka ek wafd ne hafta ke roz jammu wo Kashmir ka doura par rawana hue, jo 5 august ko Article 370 ko mansookh karne ke ke baad un ki pehli parwaaz hai.
Zaraye ke mutabiq wafad ko Airport se wapas bhaj diya jayega, kyunkay reyasti intizamia ne inhen riyasat ka dora na karne ki appeal ki hai, aur kaha hai ke wahan mamool ki bahaali mein khalal nah dalein.
Baara rukni mazkoorah wafad mein shaamil deegar rehnumao mein, Communist Party of India (CPI) leader D. Raja, Communist Party of India (Marxist) leader Sitaram Yechury, Congress leaders Ghulam Nabi Azad, Anand Sharma and K.C. Venugopal, Loktantrik Janata Dal (LJD) chief Sharad Yadav, Dinesh Trivedi, Tiruchi Siva, Majeed Memon, Manoj Jha aur D. Kupendra Reddy shaamil hain.
CPI rehnuma D. Raja ne sahafion ko bataya ke woh aman wo Amaan ki koi pareshani paeda karne ke liye waadi nahi ja rahay hain. Sharad Yadav ne kaha ke hum mulk ke shehri hain. Jammu wo Kashmir mein har koi aisa hi hai. hum aisay log nahi hain, jo kisi ke liye bhi mushkilaat paeda karenge. hum sirf jaakar wahan ki sorat-e-haal dekhna chahtay hain“.
Ghulam Nabi Azad ne media numaindon ko yeh yaqeen dehani bhi karai ke woh zimmedaar siyasi jamaaton ke rehnuma honay ki wajah se koi qanoon nahi todnay walay hain. Ghulam Nabi Azad ne kaha ke ”hukumat ka kehna hai ke jammu wo Kashmir mein sorat-e-haal mamool par hai, phir kyun woh, qaideen ko wahan jane ki ijazat nahi dete. –YTN STAFF