New Delhi : Congress rehnuma Rahul Gandhi ke janib se “Chowkidar chor hai wale bayan ke khilaaf zair-e-samaat tauheen-e-adalat ka muqadma band ho gaya hai. jisse Congress rehnuma ko raahat mili hai. it-tila-aat ke mutabiq, Supreme Court ne Rahul Gandhi ki moazirat qubool ki aur is ke baad is case ko band kar diya.
Case ki samaat ke douran, Supreme Court ne Rahul Gandhi ko mutnabba karte hue kaha ke siyasi bayan baazi mein adalat ko na ghasetein, Supreme Court ne Rahul Gandhi se ye bhi kaha ke wo mustaqbil may ziyada muhtat rahein. Rahul gandhi par ilzaam tha ke unhoun ne wazeer-e-aazam Narendra Modi par tanqeedi nishana laganay ke liye Rafale souda maamla par adalat ke faislay ko todh marod kar pesh kiya, jis se adalat ki tauheen hui hai.
Supreme Court ne jumeraat ko Rafale case may wazeer-e-aazam Narendar Modi ke bare may Chowkidar ” chor hai “ke tabsare ke liye Congress rehnuma Rahul Gandhi ke khilaaf zair-e-iltiwa tauheen-e-adalat case ki samaat ki. Cheif Justice Ranjan Gogoi, Justice sanjay kishan kaul aur Justice K M. Joseph ke bench ne Rahul Gandhi ke khilaaf tauheen-e-adalat ke iltiwa se mutaliq is muamlay par 10 May ko samaat mukammal ki thi. BJP rukan-e-Parliment Meenakshi Lekhi ne Congress leader ke khilaaf tauheen-e-adalat ka maamla darj kiya tha.
Rahul Gandhi is waqt Congress Party ke sadar they aur unhoun ne bench ko bataya ke unhoun ne aala adalat ka ghalat hawala dete hue wazeer-aazam Narendra Modi ke bare may apne bayan par pehlay hi ghair mashroot maafi maangli hai. taham, BJP ki rukan parliament Meenakshi Lekhi ki janib se, senior wakeel Mukul Rohatgi ne kaha tha ke Gandhi ki mafi ko mustard kiya jana chahiye aur unke khilaaf qanoon ke mutabiq karwaye ki jani chahiye. Rohatgi ne ye bhi daleel pesh ki ke adalat Rahul Gandhi se un tabseroun ke liye awaami tor par mafi mangne ke liye kahe. –YTN STAFF