New Delhi: Congress sadar Rahul Gandhi nay kaha hai ke woh ab party ke sadar nahi hain lehaza congress ko der kiye baghair apna naya sadar muntakhib kar lena chahiye. Rahul Gandhi nay yahan media numaindoun se kaha ke woh istifa de chuke hain aur ab woh congress sadar nahi hain lehaza party ko bilaa takheer apna sadar muntakhib kar lena chahiye.
Congress ko jald hi apni sab se badi policy saaz unit congress working committee ( SWC ) ka ijlas talabb karlena chahiye aur yeh tey karlena chahiye ke party ka naya sadar koun hoga wazeh rahay ke Rahul Gandhi aam intikhabaat mai congress ki shikast ki zimma daari qubool karte hue 25 July ko hi congress working committee ke ijlaas mai apne ohday se istifa dainay ki peshkash ki thi lekin working committee nay ek aawaz mai usay na manzoor kardiya tha. iske baad se party ke taqreeban 150 ohdedaran unke sadar barqarar rehne ki himayat mai istifa day chuke hain aur party ke karkunaan unke ohday par barqarar rehne ka musalsal mutalba kar rahay hain lekin Rahul Gandhi apne istifa par bazid hain.
Rahul Gandhi nay congress sadar ke ohday se istifa dete hue ek maktoob tehreer kiya hai jis mai unhoun nay party ki shikast ki zimma daari qubool karte hue BJP aur singh ke nazriya ki sakht alfaaz mai tanqeed ki hai. congress party ki khidmat karna mere liye aizaz ki baat hai. congress woh party hai jis ke usool aur eqdaar hamaray mulk ki ragon mai khoon ki tarhan shaamil hai. mujhe jo pyar aur izzat mili hai, iske liye mai apni party aur mulk ka qarazdaar hon.
Congress sadar ke natey 2019 ke intikhabaat mai shikast ki zimmadaari meri hai. party ki taraqqi aur mustaqbil ke liye jawab dahi bohat ahem hai aur yahi sabab hai ke mai nay sadar ke ohda se istifa day diya hai. party ko dobarah mazboot karne ke liye sakht faislay lainay honge aur kayi logoun ko 2019 ki nakami ke liye jawab dena hoga. is nakami ke liye sirf dosaroun ko zimmedaar tehrana aur bator sadar apni zimmedaari qubool na karna munasib nahi hoga. mere kayi sathiyon nay mujh se guzarish ki ke mai party ke aindah sadar ka naam tey kar doun halaanke party ke liye naya sadar hona bohat ahem hai lekin mere zareya iska intikhab hona bilkul durust nahi hoga .
Hamari party ki ek tareekh hai, ek waarsat hai, yeh jad-o-jehad ke baad khadi hui party hai jis ka mujhe fakhr hai. yeh Hindustan ke tane banay ka hissa hai aur mujhe umeed hai ke jo bhi party ka sadar banayga woh himmat, mohabbat aur mazbooti ke sath party ki qayadat karega. istifa dainay ke fouran baad mai naye congress working committee ke arakeen ko mahswara diya tha ke naya congress sadar tey karne ke liye ek committee bana di jaye. is committee ko saaray ikhtiyar day diye gay hain aur is amal ke mukammal honay mai poora sath dainay ke liye mai pur azam hun.
Meri ladai kabhi bhi ek aam siyasi Iqtidaar haasil karne ki nahi rahi. mujhe BJP se koi nafrat ya gussa nahi hai lekin Hindustan ko lekar unke nazriya ka mai sakht mukhalif hon. meri mukhalifat is liye hai kyunkay Hindustan ke tain unka nazriya aur mere nazriya mai zameen aasman ka faraq hai. yeh koi nai ladai nahi hai balkay hazaron saal se hamari zameen par ladi ja rahi hai. unhein is mai na-itefaqi aur farq nazar aata hai, mujhe barabari nazar aati hai. jahan unhein nafrat nazar aati hai, mujhe mohabbat dikhayi deti hai. unhein jis se khauf lagta hai, mai usay gale lagata hon.
Hindustan ka asal nazriya mulk ke crore haye Hindustaniyoun ke dil mai dhadakataa hai aur isi nazriya ki hifazat ab hamai mazbooti ke sath karni hai. mulk par aur dastoor par jo hamlay ho rahay hain woh mulk ke tane banay ko tabah aur barbaad karne ke liye kiye ja rahay hain. mai kisi bhi tarha kisi bhi tareeqay se is ladayi se peechay nahi hat raha hon. mai congress party ka khud supard karkun hon aur is mulk ka beta hon aur apni aakhri saans tak is mulk ki hifazat aur khidmat karta rahonga. hum ne mazbooti aur Muaziz tareeqay se intikhab lada.
hamari intikhabi muhim bhai chaaray, mohabbat, sabr aur mulk ke sabhi shehrion, sabhi mazahab aur tabqaat ke Waqar wali muhim thi. mai zaati tor par Wazeer-e-Azam , RSS aur un idaroun se ladta raha jis par unhon ne qabza kar liya hai. mai lada, kyunkay mai Hindustan se mohabbat karta hon. mai un qadroun ko bachanay, unki hifazat karne ke liye lada jin ki bunyaad par Hindustan ki taamer hui hai. kayi baar mai ne khud ko bilkul tanha khara paaya aur mujhe is ka fakhr bhi hai. mai ne apne party karkunaan, arakeen aur un sabhi mard wo khawateen se bohat kuch seekha jo mohabbat aur qadron ki baat karte they.
Azad aur ghair janbadaranh intikhab ke liye mulk ke idaroun ko ghair janabdaar hona bohat zurori hai. intikhab se jurey idaron ki azaadi ke baghair intikhab ghair janabdaar nahi ho sakte. un may azad media, azad adliya aur shafaaf intikhabi commission ahmiyat ke haamil hain. intikhabaat ghair janbdaranh ho hi nahi satke agar kisi ek party ka qabza doulat ke sabhi wasail par ho. 2019 ke intikhab mai hamari ladayi kisi siyasi party se nahi thi balkay hamari ladayi poori ki poori sarkari machinery se thi. har is idaara se thi jisay oppostion ke khilaaf khara kar diya gaya tha. is se wazeh ho chuka hai ke hamaray mulk ke idaron ki ghair janibdari khatam ho chuki hai .
mulk ke idaron par qabza karne ka are s s ka jo elania hadaf tha, woh poora ho chuka hai. hamari jamhoriat ko bunyadi tor par kamzor kya ja chuka hai aur, ab yeh khatrah khara ho gaya hai ke mulk ki jamhoriat ke liye honay walay intikhab ab mehez rasam adaigi ho kar reh jayen ge. Iqtidaar par qabza ke baad ab mulk ko zabardast tashadud aur tklifon ka saamna karna parre ga. kisaan, be rozgaar nojawan, aqliat, khawateen, dlton aur qbaylyon ko sab se ziyada takleef uthani parre gi. mulk ki maeeshat aur Waqar par zabardast asr parre ga. Wazeer e Azam ki fatah ke baad bhi un par lagey bud unwani ke ilzamaat khatam nahi hue hain, bhallay hi kitna paisa kharch kar diya jaye ya tashheer kar li jaye, lekin sach posheeda nahi ho sakta .
Hindustan ko muttahid ho kar –apne idaron ko dobarah zindah karna hoga, aur idaron ko dobarah zindah karne ke amal ki qayadat congress party ko karni hogi. is ahem kaam ke liye congress party ko oopar se neechay taq badalna hoga. aaj BJP mulk ke awam ki aawaz ko munazzam tareeqay se kuchal rahi hai. yeh congress party ki zimma daari hai ke woh aam logon ki aawaz ki hifazat kere. Hindustan kabhi bhi sirf ek aawaz par nahi chala hai. yeh hamesha ijtimai awazon ko sun-nay aur maan-ne wala mulk raha hai. Hindustan ki asal rooh yahi hai .
Hindustan mai yeh ek aam baat hai ke taaqatwar logon ko hi Iqtidaar milta rahay, koi Iqtidaar ki qurbani nahi deta hai. lekin jab taq hum Iqtidaar ki khwahish ki qurbani nahi den ge, usoolon ke liye ladayi nahi laren ge, hum –apne mukhalfin ko nahi hara payen ge. mai pedaishi cogressi hon, party hamesha mere sath rahi hai aur yeh mere khoon mai hai, aur hamesha rahay gi . –YTN STAFF