Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaRahul Gandhi aur Sonia gandhi ne ISRO ke science danoun ko saraha...

Rahul Gandhi aur Sonia gandhi ne ISRO ke science danoun ko saraha aur mubarakbaad di

New Delhi: Chandrayaan 2 Lander ”Vikram “ ke chaand par utarte waqt ground station se rabta khatam honay ke baad, ISRO ke science danoun ka housla badhate hue, congress ke sabiq saddar Rahul Gandhi aur party ki uboori saddar Sonia gandhi ne hafte ko Chandrayaan 2 mission par na-qabil yaqeen kaam karne ke liye ISRO ke science danon ko Mubarakbad di hai.

Rahul Gandhi ne tweet karte hue kaha ”Chandrayaan 2 mission par na-qabil yaqeen ka-meem karne ke liye ISRO ki team ko mubarakbaad. aap ka jazba aur lagan har hindustani ke liye ek misaal hai. aur aap ka yeh kaam raigan nahi hai.

Sonia gandhi ne ek bayan mein ISRO ke science daano ke kaam ka khaer maqdam karte hue kaha ke ”Chandrayaan 2 ke safar mein hamein thoda aisa waqt lag sakta hai, lekin mushkilat ke bawajood ISRO ki tareekh un ke azm ki misaloun se bharpur hai. unhon ne kabhi bhi himmat nahi haari. Sonia gandhi ne is baat ka tazkara kiya ke ISRO ke science danon ne Chandrayaan1 ( Hindustan ka pehla chaand mission ) ke sath 115 kamyaab khalayi missions ke sath na-qabil yaqeen kamyabi haasil ki hai. aur qoum ki unki be-panah kamyabion par be had fakhr hai.

Unhon ne kaha ke koi kamyabi hatmi nahi hoti aur aindah kamyabi ke liye har rukawat ek ahem qadam hai. unhon ne kaha ke Chandrayaan 2 ne ziyada se ziyada kamyabion ki bunyaad rakhi hai aur poora  mulk is ke agli manzil tak pohanchne ki tawaqqa karta hai.

Congress ke tarjuman Randeep singh surjewala ne bhi ISRO science danon ko tweet ke zareya mubarakbaad paish karte hue kaha ke, unhon ne khalaa ke naye mahazoun ko uboor kiya hai aur har shehri ko un par fakhr hai. –YTN STAFF