Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaRahul gandhi Amethi se kyun hare?

Rahul gandhi Amethi se kyun hare?

Lucknow : Uttar pardesh ke lok sabha halqay Amethi se congress sadar Rahul gandhi ki shikast par party ki do rukni committee ne report saumpi hai .

UPA ki sadar Sonia gandhi ke numainda KL sharma aur All India Congress Committee ke secretary Zubair Khan ke panel ne report mein tafseelaat faraham ki hain. dono ne Amethi ke paanch assembly halqon ke karkunaan se mulaqaat ki. 23 May ko lok sabha intikhabaat ke nataij mein riwayati set Amethi se Rahul gandhi ko Smriti irani ke khilaaf shikast bardasht karni padi thi aur panel ne apni report mein kaha hai ke zameeni satah par samaaj waadi party aur bahujan samaaj party ka taawun nahi mila .

Uttar pardesh mein ek sath intikhabaat ladnay ke liye SP, BSP aur RLD ke darmiyan jo ittehaad bana tha is ne Amethi se koi umeed waar nahi utaara tha. muqami leaders ne yeh daawa bhi kiya ke BSP ka koi umeed waar na honay ki wajah se Rahul ko shikast ka saamna karna pada. panel ko yeh bhi maloomat di gayi ke BSP umeed waar honay ki soorat mein jo vote inhen mlitay woh is ki ghair moujoodgi mein congress ko nah mil kar BJP ko miley. congress ke ek senior leader ne kaha party sadar ne 2014 mein 4,08,651 vote haasil kiye they jabkay inhen 2019 mein 4, 13, 994 vote miley. is darmiyan 2014 mein Amethi se BSP umeed waar ko 57, 000 vote miley they. dilchasp baat yeh hai ke is martaba Rahul gandhi Amethi se taqreeban 55,000 ke voton ke farq se haar gaye. muqami congress saddar yogish mishra ne kaha ke BSP ka vote congress ko jane ke bajaye BSP umeed waar ke nah honay ki wajah se BJP ko chala gaya. sath hi SP hukoomat mein kankni ke wazeer rahay Gayatri prajapti ke betay aur Ghoriganj se SP rukan assembly rakesh pratap singh ne khulay tor par BJP ki himayat ki. Raakesh pratap singh ne qayadat se hidaayat milnay ke baad Rahul gandhi ki himayat ki lekin tab tak bohat der ho chuki thi . –YTN STAFF