Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderRahane ka apna andaaz hai: sachin

Rahane ka apna andaaz hai: sachin

New Delhi: Hindustani cricket team ke sabiq captain sachin Tendulkar ne kaha hai ke Australia ke khilaaf 4 test matchon ki series jari hai aur Rahane test mein 2 martaba Hindustan ki captani kar chuke hain aur unhon ne sad feesad jeet ka record apne naam kiya hai, un mein se ek jeet australia ke khilaaf 2017 mein mili hai. Ajinkya pehlay bhi Hindustan ki qayadat kar chukay hain aur unke pursukoon honay ka matlab yeh nahi hai ke woh jarehana nahi hai. Har shakhs ke paas jarhiyat zahir karne ka apna tareeqa aur andaaz hota hai. jo shakhs jarhiyat nahi dekhata hai iska matlab yeh nahi hai ke woh jarehana nahi hai. Misaal ke tor par Pujara bohat pursukoon hai. Is ki jismani harkaat khail per markooz hoti hain lekin iska matlab yeh nahi hai ke pujara kisi aur se kam koshish karte hon.

Har shakhs ke paas apna radd-e-amal zahir karne aur halaat ka jawab dainay ka apna ek tareeqa hota hai lekin mein aap ko yaqeen dilaata hon ke har ek ki manzil ek hai. manzil par pohanchanay ke liye unke paas mukhtalif rastay hosaktay hain aur isi tarhan woh Hindustan ko fatah dilwasakte hain. isi tarhan Ajinkya ka ek mukhtalif andaaz, mukhtalif hikmat-e-amli hogi. Yeh team intizamia par munhasir hai. Woh kis tarhan ki mansoobah bandi karte hain, pitch kis tarhan khelti hai aur hamari batting aur bowling line up kya hogi. Yeh saari cheeze ahem hoti hain. Woh koshish karenge aur jeetnay ke liye sab kuch karenge. Sachin ne mazeed kaha ke seniors ki ghair moujoodgi team ke tawazun ko mutasir kar sakti hai lekin is se noujawan khiladion ko mawaqay mlitay hain.