Etawah: Guzashta aik hafta ke douran wasee pemanay par tanqeed ke baad, Uttar Pradesh University of Medical Sciences (UPUMS) ney, 2018 MBBS Batch ke 7 tulba ko Juniour Tulba ko chhairnay ke ilzaam mein teen mah ke liye moattal kar diya. Aur un mein se har aik ko 25 hazaar rupiye jurmanah bhi ayed kiya gaya hai.
Zaraye ney bataya ke un 7 Tulba ke khilaaf jald FIR darj ki jaye gi. Is ke ilawa 2018 Batch ke tamam 150 tulba par 5000 rupiye ka jurmana ayed kiya gaya, jo Juniour ko chhairney aur Ragging karne mein mulawis they. University ney hostel ke aik Superintendent ko moattal kar diya, is ke ilawa tulba ki Falah o behbood ke dean ko hataane aur is Security ehalkaron ko mulazmat se Bar taraf kar diya.
Aik aur paish Raft mein, Wazeer e Aala Yogi Adityanath ney university ke wise chancellor RaJ kumar ko bhi aik fori ijlaas ke liye talab kiya hai. Is se pehlay UPUMS ney is waqeye ki tardeed ki thi aur Ragging ko zurori qarar diya tha. Jaisay hi Media daboo mein izafah huwa, aakhir-kaar is ney is waqeye ka aitraaf kiya aur karwai shuru kar di.
Guzashta mangal ko, taqreeban 150 Tulba ko senior ney Campus mai march aur senior salam kar ney par mujboor kiya gaya tha. Medical Council of India (MCI) ney mobayyana waqeye se mutaliq wise chancellor ko show cause notice jari kiya. Council ney 24 ghanton ke andar jawab nah dainay par 1.5 crore rupiye jurmane ki warning di.