Tuesday, May 7, 2024
HomeHyderabadRafale Deal, Mulk ki salamti se khilwaad: Ghulam Nabi Azad

Rafale Deal, Mulk ki salamti se khilwaad: Ghulam Nabi Azad

Hyderabad. Congress ke senior leader Mr. Ghulam Nabi Azad ney aaj Rafale Deal par Modi hukoomat ko zabardast tanqeed ka nishana banatay huwe kaha ke Rafale Deal ko manzar e aam par laane se hukoomat guraiz kar rahi hai. Gandhi Bhavan Hyderabad mein Press Conference se khitaab karte huwe kaha ke Modi hukoomat aiwaan e Parliament mein Rafale Deal par kuch bstaney se qasir hai aur Wazeer e Azam Narendra Modi ney khamoshi ikhtiyar kar rakhi hai is liye hum majaboor hain ke har riyasat pahonch kar Rafale Deal ke baarey mein awam se rujoo ho rahay hain. Unhon ney bataya ke 2007 mein hamari afwaaj ney mehsoos kiya ke Hindustan par aik taraf se China aur doosri taraf se Pakistan taaqatwar ho rahay hain. Is liye hamari UPA hukoomat ney hamari afwaaj ki difai salahiyaton ka jaiza letay hue Air Force aur wizarat difaa ki sifarshaat par 126 fighter planes kharidney ka faisla kiya hai. Hukoomat ney 12th Decemeber 2012 ko bainul aqwami tender ki kushadgi amal mein aayi thi. 6 Mumalik mein se aqal tareen qeematon ki peshkash karne wali Company Rafale ki thi. Is tender mein yeh shart bhi thi ke 18 fighters tayyar shuda sarbarah kiye jayen aur 108 fighters hamaray desh mein tayyar kiye jayen ge. Uss waqt yeh taye kiya gaya tha ke French Company mai yeh tayyaray difaa ke idaara Hindustan Aeronautic Limited (HAL) mein tayyar kiye jayen ge. Iss ka faydah yeh hoga ke hum jadeed tareen tayyaray apne taur par tayyar kar saken ge taakay dosray Mumalik se kharidney ki naubat nahi aaaye gi aur hamaray Engineers ko rozgaar faraham hoga. Unhon ney bataya ke 2013 mein mazakiraat ka aaghaz huwa aur 2014 mein HAL aur French Company Rafale ke darmiyan moahida bhi hogaya. Iss dauran hamari hukoomat chali gayi. Bharat yeh umeed kar raha tha ke iss Deal mein paishraft hogi. Unhon ney bataya ke April 2015 mein Wazeer e Azam Narendra Modi France ka daura karte hain. Do din qabal jab Secretary Foreign Affairs se media ney poocha ke kiya Wazeer e Azam Rafale Deals par bhi tabadlah e khayaal karen ge to unhon ney kaha ke iss mauzo par guftagu nahi hogi aur un mamlaat mein pahelay jo kuch hochuka hai usi par amal hoga, lekin Wazeer e Azam baironi Mulk hi thae ke media mein yeh khabar aagai ke Wazeer e Azam ney is Deals  ko khatam kardiya aur 126 fighters ke bajaye sirf 36 fighters hi khareede jayen ge. Unhon ney 90 tayyaray kam kar diye. Is ki ittela kisi ko bhi nahi di gayi. Yahi nahi jab qeematon ki baat aati hai to sab ko hairat hogi ke is mein ghair mamooli izafah hogaya. Jis waqt hum ney Deal taye ki thi uss waqt un ki Currency ki qader ke mutabiq Hindustani rupay mein IL1 tayyarah 533 Crore rupay qeemat mein tha aur Modi Ji ney jis waqt yeh Deal ki tab isi tayyarah ki qeemat 1670 crore rupay hogayi. Qeematon mein teen guna izafah hogaya. Unhon ney difaa ki Company HAL mein tayyaron ki tayari ka thaika dainey ke bajaye aik khangi company ko dey diya. Yeh Hindustani awam ke liye tashweesh ka baayis hai. Unhon ney kaha ke 2007 mein jab Mulk ke liye 126 fighters ki zaroorat thi jab ke uss waqt China aur Pakistan se jung ke khatraat kam thae aur ab jabkay yeh khatrah badh gaya hai magar Modi hukoomat ney fighters ki tadaad ghatadi. Wazeer e Azam ney baironi Mulk ke daura se wapsi ke baad Committee ki dastakhat haasil kiye. Unhon ney istefsaar kiya ke khangi company ka kiya record hai. Kiya iss company ney pahelay koi iss maidan mein kaam kiya hai jabkay sarkari company ney ab tak 4060 tayyaray tayyar karchuki hai.