Thursday, April 18, 2024
HomeIndiaQhawateen ki shikayat ke baad sarkari bus amlaa ko tarbiyat dena ka...

Qhawateen ki shikayat ke baad sarkari bus amlaa ko tarbiyat dena ka faisla

Chennai: Tamil Nadu State transport corporation buses ke driver’s aur conductor’s ko qhawateen ke saath ache rawayye ki tarbiyat di jayeigi. Riyasati hukoomat ki jaanib se sarkari buses mein qhawateen ke muft safar ke elaan ke baad muqtalif bus station’s se rozana ki buniyad par qhawateen ateen par ki jaane wali tauheen ke hawale se kayi shikayat mausool ho rahi hain.

Trechi ki ek khangi company ki mulazim Sudha Silvaraj ne media se kaha ke hamare saath Tamil Nadu ki busses mein dusre darje ki shehriyon jaisa sulook kiya ja raha hai. Bus drivers aur condectors ki taraf se bure alfaz sunkar mujhe rozana ki tauheen mehsoos hoti hai. Tamil Nadu ke vazeer transport ko mai ne ek shikayat bheji hai aur agar kioe karwayi nahi huwi toh chief minister ko qat bhejne ki koshish kareinge. Yaad rahe ke riyasati hukoomat ne Tamil Nadu ki busses mein qhawateen ki muft safar ki scheme ka elaan aur un par amal dar aamaad kiya hain. Tamil Nadu ke vazeer transport RS Raja kanpun ne kaha hai ke yeh badqismati ki baat hai aur mujhe kuch shikayat mausool huwi hai.

Vizarat transport driver’s aur conductor’s ke liye qhawateen ke saath bartao par tarbiyati program munaqid kareigi aur naamwar samaji science daan classes leinge. Classes zilee sateh par chalayi jaeigi. Muhkama transport in bus mulazimeen ke khilaf saqt karwayi kareiga jinho ne qhawateen ki tauheen aur unse zyadati ki hai aur police muqadma bhi darj kareigi aur uske mutabiq karwaye kareigi. Halanke riyasati hukoomat aur Tamil Nadu transport department ne rawayye par kayi workshops munaqid kiye lekin aisa lagta hai ke iska natija umeed ke mutabiq nahi huwa hai.

Chennai mein ek 70 saala khatoon maha Laxmi ne media se baat karte huwe kaha jab bhi mai bus mein sawar hoti hoon toh drivers meri be izzati karta tha. Qhawateen ko muft sawari farahum karne mein ghalat kiya hain. Naujawan qhawateen ko zyada chedne aur tauheen ka nishana banaya jaata hain.