Thursday, April 25, 2024
HomeExclusiveQaumi Taleemi Policy: Pasmandah aur Aqliati tabqay ko mutasir karne walay ahem...

Qaumi Taleemi Policy: Pasmandah aur Aqliati tabqay ko mutasir karne walay ahem nakaat par khamoshi ikhtiyar ki gayi hai. SDPI

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi sadar MK Faizi ney apne jari kardah akhbaari aalamia mein kaha hai ke kuch dinon pehlay qaumi taleemi policy 2020 ko jadeed iqdamaat ke sath elaan kiya gaya hai lekin is mein muashray ke pasmandah aur aqliati tabqaat ko mutasir karne walay kuch ahem umoor par khamoshi ikhtiyar ki gayi hai. Unhoun ney kaha hai ke policy mein ye daawa kiya gaya hai ke is mein baday pemanay par tabdeeli ki layi jayen gi lekin policy ko mutaliqen, Reyaston aur mahireen taleem ki munasib shamoliat ke baghair markazi hukoomat ki taraf se yaktarfa elaan kiya gaya hai.

Policy mein mojooda 10+2 dhanchay ko tabdeel karkay 5+3+3+4 kardiya gaya hai, Aur is muddat ki takmeel ke baad taalib ilm graduate hoga. Policy mein chhutti jamaat se Vocational Studies ko shaamil karna, Primary satah par maadri zabaan mein taleem, Graduation ke liye subject ke hudood ka khtama, Waghera ko tajweez kiya gaya hai. Lekin policy mein bohat se ahem anasir jaisay RTA, pasmandah aur aqliati tabqaat ke liye Reservation waghera ke baray mein khamoshi ikhtiyar ki gayi hai. Right to Education Act 2009 ( RTA ) ek aisa iqdaam hai jis ka maqsad chay se chodan saal tak ki omar ke bachon. Ye ek ayeeni shaqq bhi hai. Ye qanoon hindostan ke ayeen mein tajwez Directive Principal par amal dar aamad karne ke liye banaya gaya tha. Policy mein tamam bachon tak rasai ka wada kiya gaya hai, Lekin ye kaisay haasil hoga is dastawez par mein wazahat nahi hai. Mulk mein kisi bhi bachay ko laazmi tor is ke rahaish ke qareeb school mein dakhla lainay ka haq haasil hona chahiye. Is terhan school ki taleem laazmi, Muft aur qareebi pados mein qabil rasai honi chahiye . Baher haal, Qaumi taleemi policy muashray ke pasmandah tabqay ke bachon ko muft taleem ki farahmi ke baaray mein khamosh hai jo RTA ko nafiz karkay inhen markazi dhaaray ke taleemi maidan mein laa ta hai. Ye khamoshi ghareeb bachon ko taleem ke bunyadi haq se inkaar karne ke mutradif hai. Isi terhan taleemi idaron mein Reservation, Muashray ke samaji aur taleemi tor par pasmandah tabqaat ko markazi dhaaray mein laane ke liye ayeen ke mamaron ke zariye tasawwur ki gayi ek Vision hai. Qaumi taleemi policy Reservation ke baaray mein kuch nahi kehta hai.

RSS hamesha se Reservation ke khilaaf raha hai aur dastaweez mein Reservation ke baaray mein wazeh khamoshi pasmandah tabqaat aur aqliton ko taleem ke masawi haq ke mawaqay se inkaar karna hai. Jabkay dastaweez mein anqareeb madoom honay walay sansikrat ko farogh dainay ke daf-aat mojood hain. Urdu jo samaaj mein maqool had tak boli jani wali zindah zabaan hai is ko dastaweez mein yaksar nazar andaaz kardiya gaya hai. Urdu ko nazar andaz kiya gaya to wo khatam hi hojaye gi. Isi terhan, Arabi jo khaleeji mumulik ki maadri zabaan hai jahan beshtar hindustani tarik watan ko mulazimat di jati hai. Arabi ko ghair mulki zabaan ki padhai ki fehrist se kharij kiya gaya hai jabkay Korea aur Thai zabanon ko is fehrist mein jagah mil gayi hai. Policy mein khawateen ke mutaliq mutalea ya sanfi aloom, Saqafati uloom, Media Studies, Dalit aur qabaili uloom, Aqliati uloom, Imtiazi sulooq aur ikhraj ke mutalay, Maholiyati uloom aur taraqiyati uloom jaisay shobo ka ihata nahi kiya gaya hai. Mazeed ye ke taleem ayeen ke concurrent list ke tehat ek item honay ke natey, Reyaston ko policy saazi mein hissa lainay ka mauqa faraham karna chahiye tha.

Jo is muamlay mein sahih tor par nahi huwa hai. Ye reyaston ke haq aur wifaq ke usool par hamla hai. Bohat saari reyaston ney shikayat ki hai ke NAP ke masode se mutaliq un ki tajaweez par bilkul ghhor nahi kiya gaya hai. Parliament mein is par behas kiye baghair wabai marz ke beej anay wali naslon ko mutasir karne wali aisi ahem policy ko nafiz karne mein jald baazi karna kisi ko ye sochnay par majaboor kar raha hai ke is mein kuch gur bad hai. SDPI qaumi sadar MK Faizi ney markazi hukoomat se mutalba kiya hai ke qaumi taleemi policy par amal dur aamad karne se pehlay mulk geer mubaheson ke ilawa parliament mein bhi mobahisa kiya jaye.