Friday, April 19, 2024
HomeExclusiveQaumi taleemi policy:Margaziyat Federation ke liye nuqsaan

Qaumi taleemi policy:Margaziyat Federation ke liye nuqsaan

New Delhi: Muslim Student Federation ( MSF ) ki qaumi executive committee nai qaumi taleemi policy ki mukhalifat is liye karre hi hai ke is se hindustani wifaqi usool majrooh hotay hain. Shehrion neh 2 lakh se ziyada tajaweez aur tashwishat bhejnay ke bawajood 480 safhaat par mushtamil taweel musevida policy ko sirf 64 safhaat mein jari kiya gaya hai. Jis se policy saazi ki shifafiyat par sawalat uthte hain. Ye policy matnoa aaraa par ghhor kiye baghair aur parliment mein behas kiye baghair RSS ke mafadaat par mushtamil hai. Jahan poori duniya taleem ke nizaam ki aalmakiriyat par markooz hai.

Arabi ko jaan boojh kar ghair mulki zabanon ki fehrist se hata diya gaya hai jabkay Urdu ko hindustani zabaan ki fehrist se nikaal diya gaya hai. UGC, AICTE, NAAC, Jaisay tamam mojooda Regularity idaron ko tahleel karna aur un ko ek karna iqtidaar ke sara sar markziyat ke ilawa kuch nahi hai. Jo fashzam ki ek bunyadi khasusiyat hai. Wasti universition mein dakhlay par qaboo panay ke liye research par qaboo panay aur National Testing Agency ki tashkeel ke liye National Research Foundation ka qiyam ilmi azadi ko kharab kardey ga aur siyasi tor par is ka ghalat istimal kiya ja sakta hai. Jabkay taleemi policy Secularism, Reservation aur aqliati haqooq aur taleem ke shobay mein GDP ke 6 feesad qanooni tahaffuz ko nazar andaz karti hai. Lekin ye policy niji taleemi nizaam ko farogh deti hai. MSF working committee nay kaha hai ke Covid-19 ke tanazur mein Lok Sabha ke bulaye baghair policy par amal daraamad, Mulk ke mustaqbil ke liye ek bohat bada khatrah hoga.

Ijlaas ka iftitah PK Gunhali Kati MP ( Lok Sabha ) qaumi general secretary Indian Union Muslim League ne kiya. MSF qaumi sadar TP Ashraf Ali ne ijlaas ki sadarat ki. MSF qaumi General Secretary SH Mohammad Arshad, Qaumi naib sadar Advocate K Fatima ( Kerala ), PV Ahmed Saju ( Delhi ), Sirajuddin Mohammad ( Uttar Pradesh ), Qaumi Secretarial E Teshmir ( Kerala ), Adocate NA Kareem ( Kerala ), Mohammad Irfan ( Puducherry Maaz Khan ( Delhi ), Zonal Secretary PK Mansoor ( Delhi ), Mohammad Sohail ( Assam ), G Mohammad Faizan ( Tamil Nado ), AK Mansoor, Zaid Mohammad ( Telangana ), National Executive committee members PK Nawaz , Lateef ( Kerala ), M Ansari, N Mohammad Farooq, KH Abdul Rahim ( Tamil Nado ), Advocate N Jaleel, KM Ibrahim Badshah ( Karnataka ), Mohammad Tohid Hussain Raza , ( Assam ), Mohammad Salman ( Maharashtra ). Mohammad Nooruddin Mila ( Maghribi Bengal ), Javed Aslam ( Punjab ) ijlaas mein mojood rahay. PV Ahmed Saaju nay nai taleemi policy par qarardad pesh ki. Advocate Fatima wabai marz ke douran nizaam taleem ki bunyaad par shaya honay walay survey ke baarey mein baat ki. Ijlaas mein yom-e-azaadi ke mauqa par online baydaari Assembly ke ineqad ka bhi faisla kiya gaya.