Doha: Qatar ki qaumi fazai Company Qatar Airways ney tasdeeq ki hai ke Coronavirus ki waba ke khilaaf sargaram tibbi Teams ke liye elaan kardah 1 lakh muft fazai Tickets mein Israel ke tibbi ohdedar bhi shaamil hain. Company ke mutabiq is iqdaam ka maqsad COVID-19 ki mutaddi bemari se mutasirah afraad ki dekh bhaal aur nighdasht ke wastay un afraad ke kaam par shukriya ada karna hai. ye baat Israeli ek akhbar ney Americi News Channel CNN ke hawalay se bataaye.
Is tohfay ( muft fazai Tickets ) ko Deloru! Aap logoun ka shukriya ka unwan diya gaya hai. Muft tickets ki taqseem 12 May se shuru huvi hai aur ye silsila 18 May tak jari rahay ga. Qatar Airways ki Website par jari bayan ke mutabiq duniya ke tamam mumalik ke tibbi nighdasht ke mahireen is tohfay ( muft Tickets haasil karne ) ke ahal hain.
Americi channel CNN ke sath Interview mein Qatar Airways ke cheif executive Akbar Al Bakar se poocha gaya ke aaya ye Scheme un mumalik par bhi laago hogi jin ko Qatar mumkina tor par dushman shumaar karta hai. Is par unhoun neh jawab diya ke tibbi shoboun mein kisi qisam ki tafreeq ya rukawat nahi payi jati. Is bayan ke mutabiq sahet ke Sector mein kaam karne walay Israeli karkunaan bhi duniya ke ke deegar mumalik ki tibbi teams ki terhan Israel ki abadi ki bunyaad par muft fazai tickets ke husool ke liye darkhwast pesh kar sakenge. –YTN STAFF