Monday, October 14, 2024
HomeTrending NewsQatar ke Shahi khandan ko America ke muqadma ka saamna

Qatar ke Shahi khandan ko America ke muqadma ka saamna

Doha: Qatar ke Shahi khandan par 10 Americion ke lawahiqeen ki janib se qatal ka muqadma darj karwaya gaya hai jinhein Israel aur Israel ke zair qabza West Bank mein qatal ya shadeed zakhmi kiya gaya. 51 madayoun ki taraf se darj karwaye gaye muqadmay mein ilzaam lagaya gaya hai ke Qatar America ki taraf se dehshat gard qarar di gayi tanzeemoun Hamas aur Islami jehaad ki maali imdaad karta hai. Muqadmay ke mutabiq Qatar ney Americi pabandioun se bachney ke liye 3 idaroun ki madad se raqam pohanchai . Un mein se ek Qatar Charity hai jo America ki taraf se khaas tor par dehshat gard qarar di gayi tanzeem Union of Gadgil rukan hai kyunkay is ka Hamas aur mashriq wasti mein Qatar ke Shahi khandan ke control mein samjhay jaaney walay banks Masraf Al Rayan bank aur Qatar national ke sath talluq tha.

Qatar charity board ke chairman Shahi khandan ke rukan Hamad Bin Nasar Ul Sani hain. Muqadmay mein kaha gaya hai ke kisi bhi kaarobar ki terhan dehshat gard tanzeemoun ko bhi kaam karne ke liye raqam ki zaroorat hoti hai lekin qanooni tor par kam karne walay idaroun ke bar aks Hamas jaisi dehshat gard tanzeemen hamdard mumalik aur financial idaroun par bharosa karti hain jo dehshat gardi ke khilaaf qawaneen se bachney aur apne Operation khufia rakhnay ke liye fund rising ke naye tareeqoun ka istemaal karti hain. Aksar dehshat gardi ki financing Charity ke naam par ki jati hai. Hamas ki maali madad faraham karna kaafi arsay se Qatri hukoomat ki sarkari policy rahi hai. Lehaza is mein heran honay ki koi baat nahi ke Masraf Al Rayan Bank Qatar Charity aur Qatar national bank, Jin par Qatri hukoomat aur Shahi khandan ka ghalba hai, Is mein mulawis hain. Muqadmay mein ye bhi kaha gaya hai ke Qatar ju  Doha ke qareeb America aur Europe ke ek ahem Airforce base ki maizbani karta hai,

Gaza ki pati mein mojood Hamas ki sab se ziyada maali madad karne wala mulk hai aur is ne guzashta barsoun mein Hamas ko 50 million dollar se ziyada raqam di hai . 2008 mein Palestine hukkaam ney daawa kiya tha ke Qatar har mahinay Hamas ko lakhoon dollar puhnchaye jin ko bazahir Gaza ke logoun ke liye istemaal kiya jana tha. March 2014 mein Americi department of Treasury ke Secretery David nay Qatar ko dehshat gardi ki himayat karne wala mulk qaraar diya aur kaha ke Qatar kae barsoun se Hamas ki khulay aam maali madad kar raha hai, Jo ilaqay ko kamzor kar rahi hai.