Friday, May 17, 2024
HomeExclusiveQatar ke Education City Stadium ki tayari mein Hyderabadi Engineer Mohammad Abdal...

Qatar ke Education City Stadium ki tayari mein Hyderabadi Engineer Mohammad Abdal Samad ki salahiyatoun ka muzahira

Doha: Hyderabad nawaboun ka shehar Hyderabad apni sirf Beryani ki wajah se si hi aalmi shohrat nahi rakhta balkay is ki tareekh itni shandaar hai ke is ke tazkara ke baghair duniya ke tareekhi shehroun ka baat namukammal tasawwur kiya jata hai jabkay Hyderabad ki Engineering ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke Nizam ke daur ke kayi ek sabiq Projects aaj mein kaseer abadi ke is Greater Hyderabad ke taqazoon ko baghair kisi rukawat ke poora kar rahay hain.

Hyderabad ke Engineers waisay to saari duniya mein apni salahetoun ka loha manwachuke hain aur aaj bhi kayi bairooni mumalik mein shehar ke ba-salahiyat afraad ki toti bolti hai jis mein se ek naam Mohammad Abdal Samad hai jo kay Tolichowki ke muqeem ba-salahiyat Hyderabadi hain, Jinhoun ne FIFA World Cup ke liye Qatar mein tayyar honay walay teesray Stadium mein apni khidmaat ke sath apna aur apne Hyderabadi shehar ka naam roshan kiya hai.

FIFA World Cup 2022 ke liye Qatar ki tayyariyan is waqt aalmi khabroun mein ahem maqam haasil kar chuki hain aur haliya dinoun mein World Cup ke liye teesray Stadium ki tayari ke sath Qatar ne ek aur karnama anjaam diya hai. Education City Stadium Qatar World Cup 2022 ke liye mukammal honay wala teesra maidan ban gaya lekin is maidan ki takmeel mein Hyderabad ka kirdaar bhi hai aur ye bohat kam loog jantay hain. Tawaqqa hai ke 2020 ke aakhir tak mazeed 2 Stadium khul jayen ge. Education City Stadium FIFA World Cup Qatar 2022 Tournament ka jadeed tareen maidan hai jis ko supreme committee baraye tarsil Legacies SC ke zaraye mukammal kiya gaya hai.

Ye 2017 mein khalifa International Stadium ke kamyaab tayari aur guzishtah saal Aljanoob Stadium ke iftitah ke baad Qatar World Cup 2022 ke liye teesra maidan hai. Tawaqqa hai ke 2020 ke aakhir tak mazeed 2 stadium Al-Rayyan Stadium aur Al-Bayt Stadium bhi tayyar ho jaien ge. Is maidan ki tayari mein Hyderabadi Engineer Mohammed Abdul Samad ney bhi apni khidmaat aur salahiyatoun ka taawun diya hai aur company se aizazi sanad bhi haasil ki hai.

Abdul Samad ka talluq Hyderabad ke ilaqay Tolichowki se hai. SCM taleem Yafta Mohammad Abdal Samad ka talluq ek bawaqar khandan se hai jabkay un ke waalid Mohammad Abdul Suboor Siddiqui Maharashra State Electricity Board se subukdosh electrical Engineer hain jabkay un ke dada Mohammad Abdal Ghafar Siddiqui jo kay Telangana se subukdosh Assistant Director survey and land record rahay.

Hyderabadi Engineer Abdal Samad is team ka hissa hain jis ki sarparasti mein Education City Stadium ka tamirati kaam mukammal huwa hai. Abdal Samad ne is maidan ki tayari ke zimn mein media numainday se izhaar khayaal karte huve kaha is Stadium ko” Sehraa mein heera“ ka naam diya gaya hai jis ki wajah Stadium ke aglay hissay mein masalas, Heeroun ki terhan Hindsi namonoun ki tashkeel hoti hai jo pooray aasman par Sooraj ki harkat ke sath rang tabdeel karte dikhayi dete hain. Heeroun ki terhan, Stadium ka design bhi miyaar, Istehkaam aur lachak ki numaindagi karta hai.