Thursday, May 16, 2024
HomeJurmQatal karna tha Farhan ka mara gaya Moin Ali: Balapur qatal muamla

Qatal karna tha Farhan ka mara gaya Moin Ali: Balapur qatal muamla

Balapur qatal ka muamla hal, Paisa jurm ki asal wajah, Keraye ke qaatil police ki hirasat mein

Hyderabad: Kehte hain ke maarny walay se bachanay wala bada hota hai. Yeh kahawat Hyderabad ke ek qatal ke muamlay mein phir sadiq aayi kyunkay Farhan nami nojawan ko qatal karne ke liye 2 lakh rupiye kharch karne aur pesha war qaatil ki khidmaat karaye par haasil karne ke bawajood Farhan to bach gaya lekin ghalat shanakht ki wajah se dosra nojawan mara gaya.

Balapur mein 24 sala shakhs ke qatal ke 5 din baad police ne is muamla mein ahem kamyabi haasil ki aur 21 sala Engineering taalib ilm ko giraftar karliya jis ne qatal ke liye keraye ke qatilon ki khidmaat haasil kee. Herat angaiz tor par ibtidayi tafteesh se pata chala hai ke ghalat shanakht ke sabab kisi aur ki bajaye kisi aur ka qatal kiya gaya hai.

Tafseelaat ke mutabiq 24 sala Syed Moin Ali, Farhan ke matehat Assistant ki hesiyat se kaam kar raha tha, Ju inka asal nishana tha. Is muamlay mein pishraft Sheikh Osman ki giraftari ke sath hui jis ne pooch gach ke douran kayi razon par se parday uthaye hain aur pooray mansoobay ko be naqaab kiya.

Police ke mutabiq Balapur ke rehaishi aur markazi sazeshi Parvez ne Farhan ko qatal karne ka mansoobah banaya tha kyunkay woh is ke 9 lakh rupay ada nahi kar raha tha jis ne is raqam ko Real State ke kaarobar mein lagaya tha. Jab Farhan se raqam ka mutalba huwa to is ne mobayyana tor par Parvez ko shadeed nataij ki dhamkian den. Parvez ne Sheikh Osman ko Farhan ke qatal ke liye ko 2 lakh rupay moahida kiya jis ke sath is ne Farhan ki tasweer di aur farhan ki rahaish gaah dikhayi. Yeh bhi kaha ke Farhan aksar safaid shirt pehnta. Yeh shanakht hi ghalat saabit hui hai kyunkay qatal ke waqt Moin safaid libaas zaib tan kiya huwa tha.

Mansoobay bananay ke baad Osman ne apne sathiyon Mohammad Mazhar, Mohammad Rasheed aur Mohammad Ikram ke sath mil kar Farhan ke roz marrah ke mamool par nazar rakhni shuru ki aur usay jaan se maarny ka faisla kiya. Isi munasibat se guzashta jumaraat ki raat Osman apne sathiyon samait Farhan ki rahaish gaah gaya tha. Unhoun ne 2 afraad ko ek Scooter par ghar se nikaltay hue dekha jis ka maqsad Farhan ko qatal karna tha.

Scooter par sawaar un 2 nojawanon mein se ek ne safaid libaas pehna tha jis par qatilon ne yeh soch kar ke safaid libaas wala nojawan Farhan hai ghalti se Syed Moin Ali par waar kiya aur faraar hogaye. CCTV footage ka tajzia karne ke baad police ne Osman aur Mohammed Ikram ko Asifnagar mein waqay Osman ke ghar se giraftar kiya jin ki madad se woh deegar 2 mulzimaan ko bhi giraftar karchuki hai.