Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaQasim Rasool Ilyas ke khilaaf darj FIR wapas liya jaye: SDPI

Qasim Rasool Ilyas ke khilaaf darj FIR wapas liya jaye: SDPI

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi sadar MK Faizi ne apne akhbaari bayan mein razakaar aur Welfare party of India ke qaumi sadar Syed Qasim Rasool Ilyas ke khilaaf FIR darj kiye jany ko sharamnaak qarar dete hue is ki sakht muzammat ki hai. MK Faizi ne mazeed kaha hai ke CAA, NRC, NPR mukhalif ehtijaj ke baad se baghair kisi rukawat ke musalmanoon ko nishana banaya ja raha hai. Mojooda lockdown markazi RSS hukoomat ke liye baghair kisi mukhalifat ka saamna kiye musalmanoon aur raza karon ke khilaaf apne junooni agenday par amal dar aamad karne ka ek hifazati dhaal ban gaya hai.

RSS aur is ke saathi haqeeqat se khaufzadah hain aur wo ikhtilaaf raye ko khatam karne ke darpay hain. SQR Ilyas aakhri nishana nahi hain jin ko sankhi hukoomat ny ikhtilaaf raye ke sabab peecha kiya hai. SQR Ilyas par ilzaam hai ke unhon ny Chaandbagh mein’ ishtial angaiz’ taqreer ki thi. Haqeeqat mein Delhi riyasat ke intikhabi muhim ke douran BJP rehnumao ny ishtial angaiz taqririn kee theen aur yahi taqririn theen jis se shumal mashriqi Delhi mein musalmanoon ke khilaaf tashadud ko hawa di thi. Aisi nafrat angeez aur ishtial angaiz taqririn karne walay hukoomat ke faraham kardah security ke sath azad ghoom rahay hain aur un mutasireen ke khilaaf muqadmaat darj hain jo mulk mein apni shehriat ke liye jamhoori tor par lad rahay they jo is mulk mein peda hue the.

Delhi police se azadi se qabal ki Bartanwi police ki bo aati hai. Wo Singh parivaar, Modi Amit jodi ke karaye ke sipahi ban gaye hain aur oh police force ke liye ek badnuma daagh hain. Wo musalmanoon ke khilaaf mujrimon ki himayat aur hifazat karte hain aur Muslim amlaak ko loutne aur tabah karne mein un ki madad karte hain. Delhi police asal mujrimoun ki giraftari se khaufzadah hai aur wo hindotwa taasub se mutasir afraad ke peechay lagey hui hai . SDPI qaumi sadar MK Faizi ney hukkaam par zor diya hai ke wo jaali muqadmay mein SQR Ilyas par darj FIR ko mansookh karen aur raza karon aur musalmanoon ke khilaaf jhutay muqadmaat darj karne ke buzdilana karwayion se baz rahen. MK Faizi ney mazeed kaha hai ke jamhoori aur secular jamaaton ko mulk ke shehrion ke jamhoori huqooq ke tahaffuz aur RSS ke zariye chalne wali markazi hukoomat ki ghair jamhoori karwaiyon ko challenge karne ke liye agay aana chahiye.