Monday, April 21, 2025
HomeSliderQasem Soleimani ke janazay mein bhagdar machne se 35 afraad halaak, Mutadid...

Qasem Soleimani ke janazay mein bhagdar machne se 35 afraad halaak, Mutadid zakhmi

Kerman ( Iran ): Guzashta jummay ko Iraq ke dar-ul-hukoomat Baghdad ke bain ul aqwami hawai adday ke qareeb Americi fazai hamlay mein Iran ke fouji Qasem Soleimani halaak hue they. Mangal ke roz apne aabadi shehar Kerman mein Irani major general Qasem Soleimani ke janazay mein bhagdod mein kam az kam 35 afraad halaak hogaye. Jabkay Irani sarkari TV ne bhi tasdeeq ki hai ke 35 afraad ke halaak honay ke ilawa 48 deegar afraad zakhmi hogaye hain.

Ittila ke mutabiq, Hazaroun afraad Iran ke Quds force ke sarbarah Qasem Soleimani ke janazay mein shirkat ke liye jama hue they. Jis mein bhagdod mach gayi, Jis ke nateejay mein halakatien huien. Iran ki Emergency medical service ke sarbarah Peer Hussan ne kaha ke ”Bad qismati se hamaray kuch hum watan zakhmi ho gaye aur kuch janazay ke douran bhagdod ke sabab halaak hogaye“.

Ek roz qabal peer ko Soleimani ka juloos janaza Tehran ki sadkoun par nikla tha, Jis mein taqriban 10 lakh logoun ki shirkat ki thi. Islami council baraye rabita kaari ke mutabiq, Peer. Is juloos janaza mein Iran ke Supreme leader  Ayatollah Ali Khamenei aur Soleimani ki beti zainab ne bhi shirkat ki. Mangal ki subah se hi siyah posh saugvaroun ke baday hajhoom ne karmaan ki sadkoun ko bhedna shuru kar diya. 63 sala Soleimani shaam aur Iraq mein Tehran ke Tawuun se Malaysia ki nigrani kar rahay they. –YTN STAFF