Monday, July 7, 2025
HomeIndiaQanoon saazi ke zareya Ram Mandir ki taamir ka eindiya . Uttar...

Qanoon saazi ke zareya Ram Mandir ki taamir ka eindiya . Uttar Pradesh ke Deputy Chief Minister ke bayan par Barrister Owaisi ki nukta cheeni

Hyderabad. Sadar Kul Hind Majlis Ittehad ul Muslimeen wo Rukn Parliament Barrister Asaduddin Owaisi nay Babri Masjid-Ram Mandir milkiyat muqadma mein Supreme Court ka faisla Hindus ke haq mein na anay ki soorat mein Ram Mandir ki taamir ko yakeeni bananay Parliament mein qanoon saaz karne Deputy Chief Minister Uttar Pradesh Keshav Prasad Morya ke bayan ka sakht note letay hue un ke bayan ko behooda qarar diya aur kaha ke is terha ki batein karte hue kis ko daraya ja raha hai? Aam intikhabaat 2019 ko dheyaan mein rakhtay hue Bharatiya Janata Party Babri Masjid milkiyat tanazia ko intikhabi mauzo bananay ke darpay hai, jis ki kadi ke taur par Uttar Pradesh ke Deputy Chief Minister Keshav Prasad Morya ney haal hi mein kaha ke Adalat mein hamaray mawafiq faisla na anay ki soorat mein Babri Masjid ki jagah Ram Mandir ki taamir ke liye Parliament mein qanoon ki manzoori ka ikhtiyar khula huwa hai. Yaad rahay ke Supreme Court mein Babri Masjid muqadma ki qatayi samaat jari hai. Morya ney kaha awam ka aiqan hai ke Supreme Court ka faisla jald aajay ga aur Ram Mandir ki taamir mein haayel rukawaten door ho jaiengi. Ya to faisla jald aayega ya phir mazakraat ke zareya hum koi hal dhondh nikaal leinge ya phir Parliament ke zareya qanoon saazi ka teesra ikhtiyar khula huwa hai. Barrister Asaduddin Owaisi nry aik qaumi news channel se baat cheet karte hue istafsaar kya ke Deputy Chief Minister kaisi zabaan istemaal kar rahay hain? Unhon ney istafsaar kya ke aaya woh kisi ko dhamki dey rahay hain ke agar faisla un ke haq mein nahi aaya to qanoon saazi karte hue Mandir taamir ki jaye gi? Unhon nry poocha ke tum Dastoor ki kaunsi difaa ke tahet tum qanoon banasakte ho jab ke maamla Supreme Court mein zair douran hai? Yeh mayoosi ki khuli alamat hai aur woh darasal awam ka dheyaan btane ki koshish kar rahay hain taakay Bharat ke awam un se mulazimton, afraat e zar, ashya ki qeematon mein izafah, Kashmir mein jo kuch ho raha hai, selaab se mutasirah Kerala ki fauri imdaad na karne se mutaliq makhsoos sawalaat na kar saken. Sangh Pariwar aur BJP ke log har dosray din dheyaan hatao technic ko ikhtiyar karte hain.