Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaQanoon Aadhaar durust magar Mobile aur Bank se marboot karne ki zaroorat...

Qanoon Aadhaar durust magar Mobile aur Bank se marboot karne ki zaroorat nahi

Dehli. Supreme Court ne aaj markazi hukoomat ke Aadhaar qanoon ke fawaid ki bohat sataish ki aur is ke dastoori juwaz ko bahaal rakha. Adalat e Uzma ne darkhwast guzaron ki tashweesh ko door kya ke Aadhaar card fard ki niji maloomat sab par ayaan ho jatay hain aur markaz se kaha ke jitna jald mumkin hosakay data ke tahaffuz ke liye sakht qanoon waza kare. Supreme Court ne ruling di ke khangi idaray Aadhaar ke liye israar nahi kar saktay aur yeh bhi kaha ke school mein dakhlon ke liye qaumi shanakhti number yakeeni taur par laazmi nahi hai. Chief Justice Mr. Justice Deepak Misra ki zair e qayadat paanch rukni dastoori bench ke Justice Mr.  A K Sikri ne kaha ke samaaj ke nazar andaaz kardah tabqa ko Aadhaar card ba-ikhtiar banata hai aur  nhen shanakht dilaata hai. Aadhaar, deegar shanakhti sadaqatnaama se mukhtalif hai chunkay is ki naqal nahi ki ja sakti. unhon ne yeh bhi kaha ke Aadhaar card aur shanakht ke darmiyan aik bunyadi farq hai. unhon ne kaha ke aik martaba biometric maloomat mehfooz karli jati hain to woh system mein hamesha mehfooz rehti hain. Justice Sikri ne yeh bhi kaha ke behtar honay se behtar munfarid hona achchca hai. Unhon ne kaha ke Aadhaar indraaj ke liye you aayi d ae aayi ki janib se khafeef aabadyati aur shehrion ka biometric data ekhatta kya jata hai aur kisi dosray fard ko muntaqil nahi hota. insani Waqar ka nazriya ko faisla mein tosiay andaaz mein bayan kya gaya. Chief Justice Misra, Justice A k Sikri, Justice A M Khanwelkar, D Y Chandarchod  aur Ashok Bhushan ne Aadhaar qanoon ko challenge karte hue daakhil kardah darkhwaston ki samaat ki thi aur 38 dinon taq samaat ke baad 10th  May ko apna faisla mehfooz kardiya tha .