Monday, May 20, 2024
HomeSliderQabrastanoun mein jagah nahi, Corona se halaak honay waloun ko aabadi se...

Qabrastanoun mein jagah nahi, Corona se halaak honay waloun ko aabadi se duur aag lagayi jane lagi

Midar: China mein jahan Corona ka qehar thamta nazra-e- raha hai aur guzashta 2 doonoun se China mein Corona ka koi naya mareez manzar aam par nahi aaya hai wahein Italy mein Coronavirus ke nateejay mein baday pemanay par jaanoun ka zayaa horaha hai. Italy mein ye haal hai ke tadfeen ke liye qabrastan mein jagah nahi hai is liye Corona se marnay walay logoun ki lashain Trucks mai daal kar aabadi se daur le jayi ja rahi hain aur inhen aag laga kar raakh kardiya ja raha hai.

Media ke mutabiq Italy mein logoun ne apne gharroun ki khidkioun se ek holnaak manzar dekha. Fouj Corona se halaak honay walay 60 afraad ki lashain fouji Trucks mein daal kar inhen nazar e aatish karne ke liye le ja rahi thi. Social Media par Italy mein fouji gadiyoun ke ek qaafley ko ek shahrah aam se guzarte dekha ja sakta hai. Ye manazair shumali Italy ke Corona se mutasirah ilaqay Lombardy ke shehar Bergamo ke hain. Bergamo Corona se sab se ziyada mutasir huva hai.

Coronavirus se halaak honay walay logoun ko jala kar raakh kardiya jata hai aur un ki laashoun ki raakh ki ek muthi un ke lawahiqeen ko di jati hai. Italy mein Corona se marnay waloun ki kisi qisam ki mazhabi tareeqay se tadfeen nahi hosakti aur na hi un ki aakhri rasomaat ada ki jarahi hain. Fouj ki nigrani mein Corona se marnay waloun ki lashain talaf kar di jati hain.

Ek Minute se bhi kam doraniye ki Video samnay aaya hai. Italy mein ek din mein 475 afraad Corona ke baais halaak hogay jabkay jummay ko ye tadaad 627 batayi ja rahi hai jis ke baad ab tak Corona se Italy mein 3 hazaar amwaat se ziyada hochuki hain. Aini shahideen ne kaha hai ke unhoun ne ek qabrastan mein Corona se halaak honay walay afraad ki laashoun ko aag mein jalatay dekha. 1 shakhs ne kaha ke guzashta roz ek qabrastan mein 31 aur dosray mein 10 lashain nazar e aatish ki gayeen. –YTN STAFF