Saturday, May 4, 2024
HomeSliderQaazipet mein Railway coach factory ke liye araazi

Qaazipet mein Railway coach factory ke liye araazi

Hyderabad: Panchayat raj ke wazeer Errabelli dayakar rao Warangal zila mein Qaazipet mein railway coach factory ke qiyam ke liye 150.05 acre araazi railway ohdedaron ke hawalay kardi.

Warangal mein coach factory ke muamlay ka jaiza lainay ke baad rao ne kaha chunkay zila warangal ke awam ka coach factory ka qiyam barson purana khawab hai, Hum railway ke ohdedaron ki darkhwast kardah 60 acre ke muqaabla mein 150. 05 acre arazi derahe hain. Urban collectorate office zila ke muntakhib numaindon aur ohdedaron ke sath ijlaas munaqidah hua.

Qaazipet railway station ke qareeb Manzoor shuda coach factory ko kisi aur riyasat mein muntaqil kardiya gaya tha aur baad mein railway wagon ki over halng workshop ki tajweez di gayi thi. Rao ne kaha hum ne coach factory ke liye railway ke ohdedaron ki darkhwast se ziyada zameen di hai. Is umeed ke sath ke zila ke muqami nojawanon ko rozgaar ke ziyada mawaqay muyassar ayenge. chief minister KCR aur municipal administration ke wazeer KTR ki madad se zila se talluq rakhnay walay wazraa, arkaan aur MLC parmushtamil karega.

Is araazi ki qeemat jo railway ke hawalay ki gayi thi woh 380 crore rupay se ziyada hai. Muddi kunda gaon ke nawah mein waqay sri sitaram chandraswami mandir se talluq rakhnay wali araazi ko zilai intizamia ne mehakma ke qabzay mein le liya.