Thursday, May 2, 2024
HomeIndiaPyaaz ki qeematoun mein pichlle saal ke muqablay mein chaar guna izafah

Pyaaz ki qeematoun mein pichlle saal ke muqablay mein chaar guna izafah

New Delhi: Qaumi dar-ul-hukoomat Delhi mein pyaaz ki badhti hovi qeematein sarfeen ko rulaa rahi hain. Jummay ko pyaaz ki qeematoun mein mazeed izafah record kiya gaya. OS Staple ki qeematein pichlle saal ke muqablay mein 4 guna ziyada theen. 29 November 2018 ko, Delhi ke Azadpur mandi mein pyaaz ki thook qeematein, 2.5 kelo gram 16 kilo gram ke darmain theen. Jabkay jummay ke roz, ye 20-62.5 Rupiye fi kelo gram huien. Taajiroun ka kehna hai ke ziyada khapat aur supply ki kami ki wajah se pyaaz ki qeematein badh rahi hain.

Taajiroun ne kaha jummey ke roz Azadpur mandi mein pyaaz ki aamad 1,045. 6 Ton thi, Jabkay Delhi mein pyaaz ki khapat rozana 2 hazaar Ton ke qareeb hai“. Markazi hukoomat ne mulki supply aur qeematoun ko control karne ke liye 1.2 Lakh Ton pyaaz ki dar-aamad ka faisla kiya hai. Pyaaz traders Association ke sadar aur Azadpur mandi ke ek tajir Rajendra Sharma ne bataya ke mulk bhar mein pyaaz ki osaTon yomiya khapat 50,000 taa 60,000 ke lag bhag hai, Lehaza 1.2 Lakh Ton pyaaz ki dar-aamad 2 din ki khapat ke mutradif hai.

Zarayi maher Vijay Sardana ne kaha ke pichlle season ka stock mulk mein pyaaz ke ghair munasib zakheera karne ki wajah se barbaad hogaya tha. jabkay nai fasal mausam ki wajah se tabah ho gayi hai. filhal, Taqreeban 10 Lakh Ton pyaaz dar aamad karne ki zaroorat hai. Taham, Pyaaz ki itni badi miqdaar ka hona ghair maqool hai ke ye, Beron mulk se dastyab nahi hoga. Hukoomat, Misar, Turkey, Holland aur deegar mumulk se pyaaz kharidne ki koshish kar rahi hai. Sarkari malkiat wali MMTC ne bhi pyaaz ki dar aamad ke liye Misar ke sath moahida kiya hai aur aglay mah mulk mein 6,090 Ton pyaaz ki khayep dastyab hogi. -YTN STAFF