Saturday, April 20, 2024
HomeHyderabadPurana shehar ki pasmandagi ke liye AIMIM zimmedaar: Abdullah Sohail

Purana shehar ki pasmandagi ke liye AIMIM zimmedaar: Abdullah Sohail

Hyderabad: Telangana pradesh congress committee ke mehakma aqlityon ke chairman Abdullah Sohail ne ilzaam lagaya ke AIMIM hyderabad ke puranay shehar ki pasmandagi ki asal zimmedaar hai kyunkay is ne kisi bhi taraqiyati sargarmi ki ijazat nahi di hai.

Congress ke umeed waar Ahmed Aslam shareef jo sirf 22 saal ke hain unhon ne purana pul division mein intikhabi muhim mein hissa lainay ke douran media se guftagu karte hue Abdullah Sohail ne kaha ke AIMIM rehnumao ne haqeeqi masail aur taraqiyati projects ko nazar andaaz karte hue logon ko firqa-waranah aur ghair mutaliqa mamlaat par zehni tor par masroof rakha.

Halaanke masail aur taraqqi jo un ki roz maraah ki zindagion se mutaliq hai is par asal tawajah honi thi lekin AIMIM awam ko zehni tor par aisay mamlaat mein masroof rakhti hai jis se unka siyasi faida ho. unhon ne mazeed kaha ke jab ke guzashta chand dahoun mein poora hyderabad ek taraqqi Yafta khittay mein tabdeel hogaya, khaas tor par congress hukoomaton ke tehat, AIMIM rehnumao ne puranay shehar mein kisi bhi tarhan ki taraqqi ya badey mansoobon ki ijazat nahi di.

Abdullah Sohail ne ye bhi ilzaam lagaya ke AIMIM barah-e-raast BJP ko poooray mulk mein apna markaz mazboot bananay mein madad fraham kar rahi hai. AIMIM ke saddar Asaduddi Owaisi apni party ki bunyaad ko badhaane mein dilchaspi nahi rakhtay hain lekin woh BJP ko mazhab ki bunyaad par raye dahindgaan ko polarize karne mein madad fraham kar rahay hain. woh Bihar, Uttar pradesh, Maharashtra aur maghribi Bengal jaisi reyaston mein intikhabaat ladnay ke khawahish mand hain lekin woh puranay shehar hyderabad aur naye shehar ke kuch muslim aksriyati ilaqon se bahar niklne ke qabil nahi.

AIMIM 150 divsions mein se sirf 51 par hi kyun intikhab lad rahi hai. agar owaisi raye dahindgaan ko raazi karne ke liye Bihar aur maghribi bangal jasaktay hain to, phir Telangana mein yeh koshish kyun nahi ki jarahi hai? is sawal ka jawab woh shayad awam ke samnay dey nahi sakte.