Wednesday, September 18, 2024
HomeSliderPur hujoom taqreeb mein Shirkat, Kohli aur Shastri se board jawab talab...

Pur hujoom taqreeb mein Shirkat, Kohli aur Shastri se board jawab talab kareiga

London: Hindustani cricket control board (BCCI) ne Hindustan ke coach Ravi shastri ke London mein rehte huwe coronavirus ka shikar hone ke baad radd e amal zahir kiya. BCCI Hindustan ke captain Virat kohli aur coach se is maah ke shuroo mein ek pur hujoom jagah ka daura karne par pareshan dikhai deta hain. Report mein mazeed kaha gaya hain ke dono ne BCCI ki manzoori ke bagair program ke dauran kitaab ki rasm ijrayi ki taqreeb mein shirkat ki.

Board mamle ki tehqeeqat kareiga is waqia ne board ko sharminda kar diya hain. Coach aur captain se poocha jaeiga ke owal mein 4th test ke baad halaat ki wazahat ki jaye team ke intezami manager girish dongre ka kirdar bhi zaire behas hai. BCCI ke aala auhdedar ne kaha hai ke team ke captain aur coach ki par hujoom taqreeb mein shirkat ke mutalliq sawal kiya jaeiga.

BCCI ACB ke saath rabte mein hai aur is baat ku yaqeeni banane ki koshish kar raha hai ke series bagair kisi mazeed nagahani waqiaat ke mukammil ho jaye. Abhi tak har kioe umeed kar raha hai ke shastri jald sehat yaab ho jaeinge. Wednesday ko T20 world cup ke liye selection meeting hai shayed mamle hal ho jaeiga.

Is se qabl BCCI ke secretary Jai Shah ne skuade ke har rukun ko qat likha tha ke woh wabai amraz ki wajeh se hujoom wali jagoh par jaane se ehtiyat karein. Is baat ka kioe yaqeen nahi ke shastri ne kitaab ke ijraa mein shirkat se mohlik virus se mutasir huwe ya nahi kyun ke team jis muqaam par hai is hotel ki lift dusre mehmaan bhi istemal karte hain.

Yaad rahe ke shastri hi nahi unke khareebi maawun boling couch Bharat arwin aur fielding couch aar sreedhar bhi corona se mutasir huwe hain. Iska matlab hai ke Hindustani couching amlaa England ke khilaf 5th test ke liye dastiyab nahi hoga. Daree asnaa kohli ki zaire qiyadat Hindustan ne oowal mein England ko 157 runs se shikast de kar 5 matches ki test series mein 1-2 ki bartari hasil Karli. Aakhri test 10 September ko shuroo hoga aur old treford mein khela jaeiga.